Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan
YE HAI KHWAJA KA HINDUSTAN
MERE KHWAJA KA HINDUSTAN
Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan
Khawaja Ke Diwane Denge Apne Watan Par Jaan
Ye Hain Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan
Fazl-E-Khuda Aur Faiz-E-Nabi Se Khilk-E-Shirk Ukhada Tha,
Aakar Khwaja Ne Ajmer Me Deen Ka Jhanda Gaada Tha,
Hind Ki Dharti Par Jitne Bhi Deen Ke Dushman Rehte The,
Allahu Ka Zarb Lagakar Har Zaalim Ko Pachada Tha
Jisne Bhi Dekha Aap Ko Khwaja Le Aaya Iman
Ye Hain Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan
Yahi Pe Mas'ud-E-Ghazi Ne Apne Sar Ko Kataya Haiñ
Yahi Pe Magdoom-E-Ashraf Ne Parcham-E-Haq Lehraya Haiñ,
Yahi Pe Haji Ali-O-Haji Malang-O-Magdoom-E-Mahim,
Waris-E-Meena Baba Tajuddin Ka Hum Par Saaya Haiñ,
In Sabki Azmat Pe Karu Main Tan-Man-Dhan Qurban
Ye Hain Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan
Yahi Pe Khwaja Sayeed Fakhruddin Hishamuddin Bhi Haiñ,
Yahi Pe Qutubuddin Nizamuddin Alauddin Bhi Hain,
Yahi Pe Shamsuddin Altamash Yahi Naseeruddin Bhi Hain,
Yahi Pe Sharfuddin Muneeri Sufi Hameeduddin Bhi Haiñ,
In Sabki Choukhat Se Bat'ta Hain Jaam-E-Irfan
Ye Hain Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan
Yahi Pe Alahazrat Bhi Hain Aur Yahi Marehra Hai
Mufti e Aazam Ka AhleSunnat Pe Aaj Bhi Pehra Haiñ
Yahi Pe Hamid-O-Ibrahim Raza Aur Ameen-E-Shariyat Haiñ
Noori Miyan Ki Noori Kiran Se Roushan Sabka Chehra Haiñ,
Tajushshariah Ka Har Ek Sunni Par Hai Ehsaan
Ye Hain Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan
Khawaja Ke Diwane Denge Apne Watan Par Jaan
Ye Hain Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan
Iske Liye Gar Waqt Pada To Dedenge Hum Jaan
Isi Me Hain Hum Sabki Azmat Aur Hamari Shaan
Ye Hain Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan
Comments
Post a Comment