SAR TA BA QADAM HAI TAN E SULTAN E ZAMAN PHOOL with Tazmeen Sayyed Abdul Wasi Sahab
Wo Ban Me Qadam Rakh De To Ban Jaata Hai Ban Phool Jiss Phool Ko Wo Chhu Lein To Ho Rashk-e-Chaman Phool Main Kyun Kahoon Ke Sirf Hai Aaqa Ka Dahan Phool Sar-Ta-Ba-Qadam Hai Tan-e-Sultaan-e-Zaman Phool Lab Phool Dahan Phool Zakan Phool Badan Phool Aaraam Gunehgaar Ko Ek Pal Nahi Milta Sar Se Mere Aalam Ka Sooraj Nahi Dhalta Main Kya Karoon, Sarkaar! Mera Bas Nahi Chalta Tinka Bhi Humare To Hilae Nahi Hilta Tum Chaaho To Ho Jae Abhi Koh-e-Mehan Phool Allah Ne Sarkaar Ki Wo Shan Banayi Wallah Koi Kar Nahi Sakta Hai Badhai Hairan Hui Dekh Ke Ye Sari Khudayi Dandaan-o-Lab-o-Julf-o-Rukh-e-Shah Ke Fidayi Hai Durr-e-Adan, La'al-e-Yaman, Mushk-e-Khutan, Phool Aye Malik-e-Kul, Rashk-e-Jahan, Shah-e-Rasoolaa'n Mahboob-e-Khuda, Noor-e-Khuda, Rehmat-e-Yazdaan Hai 'Arzi-e-Ahbaab Na Ho Mujh Sa Paresha'n Ho Baar-e-Gunah Se Na Khajil Dosh-e-'Azizan Lillah Meri Na'ash Kar, Aye Jaan-e-Chaman Phool Kehta Hai Bashar Apni Tarah Wo Hai Kameena Dikhlao Use Shehr-e-Bareli Ka Qareena Us...