SAR TA BA QADAM HAI TAN E SULTAN E ZAMAN PHOOL with Tazmeen Sayyed Abdul Wasi Sahab

Wo Ban Me Qadam Rakh De To Ban Jaata Hai Ban Phool
Jiss Phool Ko Wo Chhu Lein To Ho Rashk-e-Chaman Phool
Main Kyun Kahoon Ke Sirf Hai Aaqa Ka Dahan Phool

Sar-Ta-Ba-Qadam Hai Tan-e-Sultaan-e-Zaman Phool
Lab Phool Dahan Phool Zakan Phool Badan Phool

Aaraam Gunehgaar Ko Ek Pal Nahi Milta
Sar Se Mere Aalam Ka Sooraj Nahi Dhalta
Main Kya Karoon, Sarkaar! Mera Bas Nahi Chalta

Tinka Bhi Humare To Hilae Nahi Hilta
Tum Chaaho To Ho Jae Abhi Koh-e-Mehan Phool

Allah Ne Sarkaar Ki Wo Shan Banayi
Wallah Koi Kar Nahi Sakta Hai Badhai
Hairan Hui Dekh Ke Ye Sari Khudayi

Dandaan-o-Lab-o-Julf-o-Rukh-e-Shah Ke Fidayi
Hai Durr-e-Adan, La'al-e-Yaman, Mushk-e-Khutan, Phool

Aye Malik-e-Kul, Rashk-e-Jahan, Shah-e-Rasoolaa'n
Mahboob-e-Khuda, Noor-e-Khuda, Rehmat-e-Yazdaan
Hai 'Arzi-e-Ahbaab Na Ho Mujh Sa Paresha'n

Ho Baar-e-Gunah Se Na Khajil Dosh-e-'Azizan
Lillah Meri Na'ash Kar, Aye Jaan-e-Chaman Phool

Kehta Hai Bashar Apni Tarah Wo Hai Kameena
Dikhlao Use Shehr-e-Bareli Ka Qareena
Uss 'Aashiq-e-Sadiq Ne Badi Baat Kahi Na

Wallah Jo Mil Jae Mere Gul Ka Pasina
Maange Na Kabhi 'Itr, Na Phir Chahe Dulhan Phool

Auqaat, Wasi! Teri Na Hi Tere Qalam Ki
Mat Poochh Ye Ke Kaise Ye Tazmin Raqm Ki
Ye Khaas 'Inayat Hai Nawason Ke Qadam Ki

Kya Baat, Raza! Uss Chamanistaan-e-Karam Ki
Zehra Hai Kali Jiss Mein, Husain Aur Hasan Phool


Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan