Bayaa'n Kaise Karu'n Kya Shaan Mehboob E Khuda Ki Hai
Bayaa'n Kaise Karu'n Kya Shaan Mehboob E Khuda Ki Hai
Bayaa'n Kaise Karu'n Kya Shaan Mehboob E Khuda Ki Hai
Jise Imaan Kehte Hai Muhabbat Mustafa(ﷺ) Ki Hai
Ibadat Karke Bhi Wo Mistahiq Hai Naar e Dozakh Ka
Adawat Jis Kisi Ke Dil Me Shahe Ambiya Ki Hai
Ilahi Us Namaz e Ishq Ka Sadqa Ata Karde
Ali Ne Jo Namaz e Ishq Sehba Me Ada Ki Hai
Bahattar The Magar Phir Bhi Hazaro Par Rahe Ghaalib
Uthakar Dekhlo Tarikh Ye Karbobala Ki Hai
Qadam Hai Auliya Allah Ki Gardan Pe Jab To Sar
Kaha'n Hoga Samajh Lo Shan Kya Ghaus Ul Wara Ki Hai
Koi Kursi Pe Baithe Usse Kya Raja To Khwaja Hai
Hukumat Pure Bharat Me Mere Khwaja Piya Ki Hai
Jahane Sunniyat Me Ghaus O Khwaja Ki Inayat Se
Shehenshahi Musallam Aaj Bhi Ahmed Raza Ki Hai
Na Fatwa Me Badal Koi Na Taqwa Me Koi Saani
Ye Ta'arif Kiski Mufti e Aazam Shah Ki Hai
Lage Jab Basti Basti Qariya Qariya Ka Kahi Naara
To Khul Kar Saamne Aao Agar Chahat Wafa Ki Hai
Hai Haq Goi Wa Be Baaki Ke Paikar Qaid e Millat
Karam Hai Aala Hazrat Ka Ata Akhtar Raza Ki Hai
Koi Nadaa'n Unhe Khudsa Kahe Ye Ghair Mumkin Hai
Jahaane Ilm Me Shohrat Zia Ul Mustafa Ki Hai
Gayas Uddin Sher E Kalpi Ka Hath Mujh Par Hai
Bala Ghere Mujhe Itni Kaha Himmat Bala Ki Hai
Milega Bazm e Jannat Me Nabi(ﷺ) Ki Naat Ka Mauqa
Wasi Gulzar E Millat Ne Teri Khatir Dua Ki Hai
✍🏻KALAM E WASI E MILLAT
Comments
Post a Comment