Hamare Aaqa Hamare Moula Imam E Azam Abu Hanifa
Hamare Aaqa Hamare Moula Imam E Azam Abu Hanifa
Hamare Aaqa Hamare Moula Imam E Azam Abu Hanifa
Hamare Mulja Hamare Ma'wa Imam E Azam Abu Hanifa
Zamane Bhar Ne Zamane Bhar Mein Bahut Tajassus Kiya Ho Lekin
Mila Na Koi Imam Tum Sa Imam E Azam Abu Hanifa
Tum Hi Ko Maana, Tum Hi Ko Jana, Tumhi To Sab Ke Imam Thehre
Mila Na Koi Imam Tum Sa Imam E Azam Abu Hanifa
Tumhare Aage Tamam Aalam Na Kyu Kare Zaano E Adab Kham
Ke Peshwayaan-e-deen-e-baala Imam E Azam Abu Hanifa
Na Kyu Kare Naaz Ahle Sunnat Ke Tum Se Chamka Naseeb-e-Ummat
Siraj E Ummat Mila Ho Tumsa Imam E Aazam Abu Hanifa
Khuda Ne Tujhko Wo Di Hai Rif'at Ke Tera Mansoob Bhi Hai Marfoo'
Teri Ijafat Me Raf'a Paya Imam E Aazam Abu Hanifa
Hua Uloo Al-amr Se Ye Sabit Kay Teri Itaa'at Zaroori Wajib
Khuda Ne Tum Ko Kiya Hamra Imam E Azam Abu Hanifa
Kisi Ki Aankho Ka Tu Hai Taara, Kisi Ke Dil Ka Bana Sahara
Magar Kisi Ke Jigar Me Aara Imam E Aazam Abu Hanifa
Jo Teri Taqleed Shirk Hoti, Muhaddiseen Saare Hote Mushrik
Bukhaari-O-Muslim Ibn Majah Imam E Azam Abu Hanifa
Ke Jitne Fuqaha Muhaddiseen Hain, Tumhare Khirman Se Khosha Cheen Hain
Wo Waste Se Ye Be Waseela Imam E Azam Abu Hanifa
Siraaj Tu Hai Baghair Tere Jo Koi Samajhe Hadees O Quraan
Phire Batakhta Na Paye Rasta Imam E Azam Abu Hanifa
Khabar Le Ay Dastageer E Ummat Hai Saaiq E Be Khabar Pe Shiddat
Wo Tera Ho Kar Phire Bathakta Imame Azam Abu Hanifa
Comments
Post a Comment