Jaan E Man Jaan E Zamana Sayyedi Akhtar Raza
Jaan E Man Jaan E Zamana Sayyedi Akhtar Raza
Jaan E Man Jaan E Zamana Sayyedi Akhtar Raza
Dil He Mai Rehna Na Jana Sayyedi Akhtar Raza
Dil Mai Hai Tasweer Teri Jab Mai Chahuñ Dekh luñ
Bas Mujhe Sar Hai Jhukana Sayyedi Akhtar Raza
Mai Ye Kaise Maan luñ Ke Aap Dunya Se Gaye
Aap Hai Maine Ye Maana Sayyedi Akhtar Raza
Jhoom Kar Nasleñ Hamari Ye Kaheñgi Fakhr Se
Aap ka Paaya Zamana Sayyedi Akhtar Raza
(E̶k̶ N̶a̶y̶a̶ F̶i̶t̶n̶a̶ U̶t̶h̶a̶a̶ H̶a̶i̶ S̶a̶a̶q̶i̶b̶ E̶ S̶h̶a̶a̶m̶i̶ K̶a̶
A̶b̶ H̶o̶ N̶a̶z̶a̶r̶ E̶k̶ N̶a̶a̶-̶S̶i̶h̶a̶n̶a̶ S̶a̶y̶y̶a̶d̶i̶ A̶k̶h̶t̶a̶r̶ R̶a̶z̶a̶)
Aalahazrat Mufti E Aazam The Phir Akhtar Raza
Ab Hai Asjad Ka Zamaana Sayyedi Akhtar Raza
Asjad E Millat Humaare Qaaid E Ahle Sunan
Markazi Tera Gharaana Sayyedi Akhtar Raza
Aap Hai Aur Aap Hi Ke Baad Hussam O Humaam
Aap Hi Ne Ye Kaha Na Sayyedi Akhtar Raza
Jab Parhi Naateiñ Wasi Ne Aapne Ki Hai Dua
Ho Qubool Ab Ye Sunaana Sayyedi Akhtar Raza
Comments
Post a Comment