JANASHEEN E TAJUSHSHARIYAH MERE ASJAD MIYA'N MERE ASJAD MIYA'N
JANASHEEN E TAJUSHSHARIYAH
MERE ASJAD MIYA'N MERE ASJAD MIYA'N MERE ASJAD MIYA'N MERE ASJAD MIYA'
Maslak e Aala Hazrat Ke Rooh e Rawa
Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n
Qaid e Ahle Haq, Deen Ke Pasbaa'n
Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n
Hai Wahi Noor Afqaar o Qirdaar Me
Bolta Hai Wahi Lehza Oofqar Me
Zaat e Akhtar Raza Ke Chamakte Nishaa'n
Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n
Aap Aaye To Anwaar Yoo Chhaa Gaye
Aisa Lagta Hai Akhtar Raza Aagaye
Keh Rahi Hai Yahi Jhoom Kar Har Zubaa'n
Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n
Yaad e Murshid Ja Gham Jab Bhi Tarpata Hai
Dekh Kar Aapko Chain Aajata Hai
Ahle Sunnat Ke Hai Aap Aara Mijaa'n
Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n
Noor Me Aaj Sab Hai Nahaye Huwe
Bhik Le Le Sitare Hai Aaye Huwe
Banke Faiz e Raza Jalwa Gar Hai Yaha'n
Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n
Jaan O Dil Is Gul e Sunniyat Par Fida
Jisne Dali Hai Nazar Choom Kar Keh Utha
Apne Baba Ke Jalwo Se Haizo Fishaa
Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n
Thaam Lo Inka Daaman Sawar Jaoge
Saare Sachcho Ja Lutfo Karam Paoge
Ay Fareedi Sadaqat Ka Hai Tarjuma'n
Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n
Ahle Haq Ki Rehbari Aur Pasbaani Ke Liye
Wo Gaye Akhtar Mere Asjad Miya'n Ko Chhorkar
Comments
Post a Comment