Kaash Ek Roz Ghar Mere Ghaus Ul Wara Aap Tashreef Laaye To Kya Puchhna
Kaash Ek Roz Ghar Mere Ghaus Ul Wara Aap Tashreef Laaye To Kya Puchhna
Kaash Ek Roz Ghar Mere Ghaus Ul Wara
Aap Tashreef Laaye To Kya Puchhna
Apne Noorani Qadmo'n Se Ghar Ko Mere
Aake Jannat Banaye To Kya Puchhna
Ghaus e Aazan Ne Mujh Pe Karam Ye Kiya
Mujh Se Aasi Ko Roze Pe Bulwa Liya
Ab Inhi Jaliyo'n Me Mujhe Ek Din
Apna Jalwa Dikhaye To Kya Puchhna
Ek Din Jab Saje Mehfil e Mustafa
Ghaus e Aazam Ho Aur Ho Sabhi Auliya
Mai'n Padhu Jhoom Ke Naat Sarkar Ki
Sunke Wo Muskuraye To Kya Puchhna
Ye Jigar Ho Ya Sar Ho Ya Ho Chashm e Nam
Aapne To Kiye Hai Sabhi Pe Karam
Ab Jara Mere Dil Pe Bhi Rakh De'n Qadam
Dil Mera Jagmagaye'n To Kya Puchhna
Jaam Irfan Ka Bahre Irfan Se
Qutub o Abdal Aate Hai Pine Jise
Kaash Gulzar Mujh Ko Bhi Ek Din Wahi
Jaam Bhar Kar Pilaye To Kya Puchhna
✍🏻KALAM E GULZAR E MILLAT
Comments
Post a Comment