Sab Ka Daata Hai Tu Sab Ko Deta Hai TuTere Bando'n Ka Tere Siwa Kaun Hai ?
Sab Ka Daata Hai Tu Sab Ko Deta Hai Tu Tere Bando'n Ka Tere Siwa Kaun Hai ?
Sab Ka Daata Hai Tu Sab Ko Deta Hai Tu
Tere Bando'n Ka Tere Siwa Kaun Hai ?
Kis Se Magenge, Kaha'n Jayen Kis Se Kahe
Aur Dunya Me Haajat Rawa Kaun Hai ?
Kon Maqbool Hai Kon Mardood Hai
Bekhabar Kya Khabar Tujh Ko Kya Kaun Hai ?
Jab Tulenge Amal Tere Meezan Per
Tab Khule Ga Ke Khotta Khara Kaun Hai
Kaun Sunta Hai Faryad Mazloom Ki
Daste Qudrat Me Kunji Hai Maqsoom Ki
Rizq Per Kis Ke Palte Hain Shah O Gada
Musna Daara E Bazm E Ataa Kaun Hai ?
Awliya Tere Muhtaj Ay Rab E Kul
Tere Bande Hain Sab Ambiya O Rusul
Inki Izzat Ka Baais Hai Nisbat Teri
Inki Pehchaan Tere Siwaa Kon Hai?
Mera Malik Meri Sun Raha Hai Fu'nga
Janta Hai Wo Khamoshiyo'n Ki Zubaa'n
Ab Meri Raah Me Koi Haail Na Ho
Naama-Bar Kya Bala Hai, Saba Kaun Hai
Ibteda Bhi Wahi, Inteha Bhi Wahi
Naa Khuda Bhi Wahi, Hai Khuda Bhi Wahi
Jo Hai Sare Jahano'n Me Jalwa Numa
Us Ahad Ke Siwa Dusra Kaun Hai !
Wo Haqaiq Ho Ashya Ke Ya Khushq-O-Tar
Fehm-O-Idraak Ki Zad Me Hai Sab Magar
Ma-Siwa Ek Us Zaat e Be Rang Ke
Fehm-O-Idrak Se Ma-Wara Kaun Hai?
Ahl E Fikr O Nazar Jante Hain Tujhe
Kuch Na Hone Pe Bhi Mante Hain Tujhe
Ay Nasir!I Isko Tu Fazl e Baari Samajh
Warna Teri Taraf Dekhta Kaun Hai ?
Comments
Post a Comment