Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par, Taqdeer Banane Aaya Hoon

SULTAN UL HIND KI CHOKHAT PAR
TAQDEER BANANE AAYA HOON

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par, Taqdeer Banane Aaya Hoon
Afsana e Dardo Hijro Alam, Ro Ro Ke Sunane Aaya Hoon

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par...

Kya Bhul Huwi Mujhse Aaqaﷺ, Kyu Khwab Me Aana Chhor Diya
Ruthe Huwe Apne Khwaja Ko, Mai Aaj Manane Aaya Hoo'n

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par...

Kya Nazr Karu, Kya Pesh Karu Sarkar Kisi Qabil Hi Nahi
Kuchh Phool Aqeedat Ke Hai Jinhe, Turbat Pe Chadhane Aaya Hoon

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par, Taqdeer Jagane Aaya Hoon

Jab Raaz o Niyaz Ka Aalam Ho, Allah Se Hoti Ho Baatein
Us Waqt Naa Bhule Aap Mujhe, Yeh Yaad Dilane Aaya Hoon

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par...

Sadqe Mai Janab e Usman Ke, Mujh Par Bhi Karam Ki Ek Nazar
Dohraji Se Ajmer Nagar, Faryaad Sunane Aaya Hoon

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par…

Haan Chashma e Faize Rahmat Par Me Pyaas Bujhane Aaya Hoon
Me Chisht Ke Maikhane Wali, Sehba Chhalakne Aaya Hoon

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par…

Betaab Hai Dil, Bechain Hai Jaan, Raahat Ka Koi Samaan Hi Nahi
Jalta Hai Mera Khirman Jisse, Voh Aag Bujhane Aaya Hoon

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par…

Jo Bakht Ke Maare Aate Hai, Kaam Unke Yahan Ban Jaate Hai
Khwabeeda Muqaddar Hoon Main Bhi, Taabeer Jagane Aaya Hoon

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par…

Deedar Ka Dil Me Shok Liye, Kehta Hai Tumhara Yeh “Sayyed”
Sultan Ul Hind Ke Jalwon Ko, Aankho Main Basaane Aaya Hoon

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par, Taqdeer Banane Aaya Hoon......

Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan