Unki Mehek Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hai (with Tazmeen)

Unki Mehek Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hai

Dukh Dard Mustafa Ne Saare Bhula Diye Hai

Raahat Ke Jaam Bhar Ke Mujhko Pila Diye Hai

Khushiyon Ko Mere Ghar Ke Raste Dikha Diye Hai

Unki Mehak Ne Dil Ke Gunchhe Khila Diye Hai

Jis Rah Chal Diye Hai Kooche Basa Diye Hai


Rooh Ul Ameen Ne Dekhi Rifat Pe Unki Aankhe

Asra Ke Shab Lagi thi Ummat Pe Unki Aankhe

Ay Mominon Tumhari Gurbat Pe Unki Aankhen 

Jab Aagayi Hai Joshe Rehamat Pe Unki Aankhe Jalte Bujhha Diye Hai Rote Hansa Diye Hai


Ahmed Raza Chale Jab Jannat Karane Wajib 

Aankhen Thi Soo E Kaaba Taiba Pe Dil Tha Ragib 

Toofan Jo Ghir Ke Aaya Bole Nabi Ke Nasib Aane Do Ya Dubodo Ab Toh Tumhari Jaanib Kashti Tumhi Pe Chhodi Langar Luta Diye Hai


Ahmed Raza Ki Likhi Naate Rasool E Akram 

Jab Daagh Ne Padhihe Mabhoot The Mujassam

Apna Qalam Uthaya Likha Sharar Ye Usdam 

Mulq E Sukhan Ke Shahi Tum Ko Raza Musallam 

Jis Samt Aa Gaye Ho Sikke Bitha diye Hai

Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan