Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Allah Ki Rehmat Ka Sarapa Jo Dhani Hai
Jibreel Ka Sartaaj Hai Nabiyo'n Ka Nabi Hai
Wo Jiske Liye Sari Khudayi Ye Bani Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Hai Waadi E Zulmat Me Yaha'n Jiski Tajalli
Har Qalb Paresha'n Ko Diya Jisne Tasalli
Wo Jiske Sabab Gulshan e Hasti Me Nami Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Aadam. Ke Jabee'n Par Hai Wo Jis Noor Ka Jalwa
Musa Ke Asa Me Hai Basa Jiska Ajuba
Isa Ki Maseehayi Me Kun Jiski Chhupi Hai Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Wo Chand Ko Shak Karde'n
Wo Suraj Ko Phiraye
Ay Najdiyaa'n Jis Zaat Ko Ye Shaan Mili Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Me'araj Me Allah Ne Parde Ko Uthaya
Mehboob Ko Kis Shaan Se Didaar Karaya
Wo Zaat Ki Jo Bandish Sidra Se Bari Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Siddique O Umar, Haider O Usmaa'n Ki Hai Chahat
Ghaus O Raza, Khwaja Ke Bhi Dil Ki Hai Rahat
Wo Jiski Aseeri Me Har Ek Qalb Bani Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Din, Raat Waha'n Barish e Rehmat Ki Hai Chham Chham
Aate Hai Malaik Bhi Waha'n Sar Ko Kiye Kham
Hussnain Ke Nana Ki Jaha'n Jalwagari Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Lillah Karam Kijiye Sultan e Madina
Dobhar Hua Jaata Hai Ab Is Haal Me Jina
Ab Dil Ko Mere Jiski Faqat Aas Lagi Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Hote Huwe Sarkaar Ke Ham Kyu Kahi'n Jaye
Kyu Daste Talab Aur Kisi Darr Pe Badhaye
Kaunain Ke Sultan Ki Chaukhat Jo Mili Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Wo Aatish e Dozakh Se Hame Jisne Bachaya
Aur Khuld Bari Ka Hame Phir Mujda Sunaya
Mansoob Wo Jis Zaat Se Har Ek Khushi Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Ayyub Me Jis Noor Ki Chahat Hai Lalak Hai
Har Simt Usi Noor Ke Jalwe Ki Bhamak Hai
Wo Noor Ke Jis Noor Se Har Cheez Bani Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
Wo Mera Nabi Hai
Wo Mera Nabi Hai
Wo Mera Nabi Hai
Wo Mera Nabi Hai
Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai
✍🏻 Kalam E Maulana Ayyub Raza Amjadi Sahab
Comments
Post a Comment