Yaad e Mustafaﷺ Aisi Bas Gayi Hai Seene Me

YAAD E MUSTAFAﷺ AISI BAS GAYI HAI SEENE ME

Yaad e Mustafaﷺ Aisi
Bas Gayi Hai Seene Me
Jism Ho Kahi Apna
Dil To Hai Madine Me

Unki Yaad Aayi Hai
Saanso Zara Aahista Chalo
Dhadkano Se Bhi
Ibadat Me Khalal Padhti Hai

Haqiqat Me Wo Lutfe
Zindagi Paya Nahi Karte
Jo Yaad e Mustafaﷺ Se
Dil Ko Behlaya Nahi Karte

Zuba'n Ko Zuba'n Mili Hai
Teri Sana Ke Liye
Zubaa'n Mili Hai Mujhe
Naat Ki Baya'n Ke Liye

Hai Kaleem Ka Tasawwur
Hai Khayal Dore Seena
Meri Aarzu Mustafaﷺ 
Meri Justuju Madina

(Dil Jisse Zinda Hai
Wo Tamanna Tum Hi To Ho
Ham Jispe Mar Mite
Wo Duniya Tum Hi To Ho)

Jalwo Se Muhammadﷺ Ke
Raushan Mera Seena Hai
Kaaba Hai Mere Dil Me
Aur Dil Me Madina Hai

Naa Talash Me Gada Hai
Na Talab Hai Zab-O-Dina
Mere Waste Hai Kafi
Mere Sath Ye Madina

Waise Mere Aaqa Ka
Ghar To Hai Madine Me
Ha Magar Wo Rehte Hai
Aashiqo Ke Seene Me

Mai Sar Ke Bal Jaunga
Ek Din Madine Me
Hasrat Hai Mere Dil Ki
Mar Jaau Madine Me

Waise Mere Aaqa Ka
Ghar To Hai Madine Me
Ha Magar Wo Rehte Hai
Aashiqo Ke Seene Me

Mai Sar Ke Bal Jaunga
Ek Din Madine Me
Hasrat Hai Mere Dil Ki
Mar Jaau Madine Me

Padhte Huwe Duwa Me
Pher Liya Rukh Apna
Mustafaﷺ Ke Diwane
Baithe Hai Safeene Me

(Hausla Haare Na Insaan Pareshani Me
Har Bana Kaam Bigad Jata Hai Nadani Me
Doob Sakti Nahi Tufaa'n Ki Tughyani Me
Jiski Kashti Ho Muhmmadﷺ Ki Nigehbani Me)

Ye Dil Ishq e Ahmedﷺ Se
Khali Na Samjho
Junoon Hi Sahi
Lah O Lahi Na Samjho 

Mai Mangunga Jab Bhi
Muhammadﷺ Ke Dar Se
Mujhe Dar-Ba-Dar Ka
Sawali Na Samjho

(Mukhtasar Itna Ke Do Lafzo'n Se Ban Jata Hai Dil
Aur Taweel Itna Ke Isme Do Jaha'n Ka Raaz Hai)

Imaa'n Ki Nazro'n Ko
Jaha'n Dekh Raha Hai
Diwana Khuda Jaane
Kaha Dekh Raha Hai

Nayi Mushkil Koi Dar Pesh
Har Mushkil Se Aage Hai
Safar Diwangi Ka
Ishq Ki Manzil Se Aage Hai

Kaun Hai Ye Diwana
Kaisa Hai Ye Diwana
Hashr Me Bhi Kehta Hai
Jana Hai Madine Me

Raaz Wo Bulayenge
Ye Yaqeen Hai Mujhko 
Jaane Kaun Se San Me
Jaane Kis Mahine Me

Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan