Zameen O Zaman Tumhare Liye Makin O Makan Tumhare Liye

Zameen O Zaman Tumhare Liye
Makin O Makan Tumhare Liye


Zamin O Zaman Tumhare Liye

Makin O Makan Tumhare Liye

Chunin O Chunan Tumhare Liye

Baney Do Jahan Tumhare Liye.


Dahan Mein Zuban Tumhare Liye

Badan Mein Jan Tumhare Liye

Hum Aye Yahan Tumhare Liye

Uthen Bhi Wahan Tumhare Liye.


Farishte Khidam Rasoole Hisham

Tamam E Umam Ghulam E Karam

Wujood O Adam Hudoos O Qidm

Jahan Mein Iyaa(N) Tumharay Liye


Ye Fayz Diye Wo Jud Kiye

Ke Nam Liye Zamana Jiye

Jahan Ne Liye Tumhare Diye

Ye Ikramiyan Tumhare Liye.


Jinan Mein Chaman Chaman Mein Saman,

Saman Mein Phaban, Phaban Mein Dulhan

Sazaye Mihan Pe Ayse Minan

Ye Amn O Aman Tumhare Liye.


Na Jinn O Bashar Ke Aath Pahar

Malaikah Dar Pe Basta Kamar

Na Jib’ha O Sar, Ke Qalb O Jigar,

Hain Sajdah Kunan Tumhare Liye.


Khalil O Naji Masih O Safi

Sabhi Se Kahi Kahin Bhi Bani

Ye Be Khabari Ke Khalq Phiri

Kahan Se Kahan Tumhare Liye.


Tumhari Chamak, Tumhari Damak

Tumhari Jhalak, Tumhari Mahak

Zamin O Falak, Simak O Samak,

Mein Sikka Nishan Tumhare Liye.


Ishare Se Chand Chir Diya ,

Chupey Huwey Khur Ko Pher Liya

Gaye Huwe Din Ko Asr Kiya,

Ye Tab O Tawan Tumhare Liye.


Kalim O Naji, Masih O Safi,

Khalil O Razi, Rasul O Nabi

Atiq O Wasi, Ghaniyy O Ali

Sana Ki Zuban Tumhare Liye.


Ye Shams O Qamar Ye Sham O Sahar

Ye Barg O Shajar Ye Bagh O Samar

Ye Tegh O Sipar Ye Taj O Kamar

Ye Hukm Rawan Tumhare Liye.


Sahab E Karam Rawana Kiye,

Ke Ab Niam Zamana Piye

Jo Rakhte The Hum Wo Chak Siye,

Ye Satr E Badan Tumhare Liye.


Ataye Arab, Jalaye Karab

Fuyuz Ajab Baghayr Talab

Ye Rahmat E Rabb Hai Kis Ke Sabab,

Bi Rabb E Jahan Tumhare Liye.


Bafowr e Sadaa Samaan Ya Bandha

Ye Sidra Utha Wo Arsh Jhuka

Sufoof e Sama Ne Sajda Kiya

Huwi Jo Azaan Tumhare Liye


Ye Marhamatein Ye Kachchi Matein

Na Chhore Layein Na Apni Gatein

Qusoor Karein Aur Unse Bharein

Qusoor e Jinaan Tumhare Liye


Fanaa Badarat Baqa Ba Barat

Ze Har Do Jihat Bagird E Sarat

Hai Markaziyat Tumhari Sifat

Ke Dono Kamaan Tumhare Liye


Saba Wo Chale Ke Bagh Phale

Wo Phool Khile Ke Din Hon Bhale

Liwa Ke Tale Sana Mein Khule

Raza Ki Zaban Tumhare Liye.


🔊Sayyed Abdul Wasi Sahab

Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan