Almadad Khwaja e Din Hind Ke Mahe Mubin

Khushboo se muattar he guldan muinuddin

Bharat ki zami par he aehsan muinuddin

Ho Kese baya muj se ab Shane muinuddin

Har Ek zaba par he unwan muinuddin


Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin

Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin


Ek dast ko khwaja ne gulzar banaya he

Ek wadi e zulmat ko zobar banaya he

Allah ne khwaja ko mukhtar banaya he

Kul hind ke waliyo ka sardar banaya he


Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin

Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin


Ab qalbo nazar sab Kuchh jagir tumhari he

Har dil ki sateh par ab taswir tumhari he

Ho kufr ki gardan Kham Kyu kar na tere aage

Kirdar muazzam jab shamshir tumhari he


Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin

Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin


Gul ban ke mahek uththa jo tuj se juda khwaja

Wo gark hua samjo jo tuj se fira khwaja

Kyu kar na ho gar fida ham teri buzurgi par

Naza he tere uper jab pir tera khwaja


Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin

Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin


Kashmir se tamil tak us ka hi ilaka he

Bharat ka har Ek zarra us ka hi asa sa he

Kursi pe koi baythe kya is se garaz ham ko

Ta hashr Mera khwaja is hind ka raja he


Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin

Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin


Rehmat ki faza o me ba kher chale jao

Duniya ki mahafil se rukh fer chale jao

Milna he agar tum ko bharat ke shahensha se

Lo izn bareli se ajmer chale jao


Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin

Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin


Lakho ko mere khwaja ne kalma padhaya he

Bharat ke muqaddr ko khwaja ne jagaya he

Qashkol me khawaja ne dariya ko samaya he

Allah ki qudrat ka kya jalawa dikhaya he


Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin

Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin


Ek noor ka jarna he turbat mere khwaja ki

Taswir jina he ya chokhat mere khwaja ki

Ek Chhote se kunje me bhardala ana sagar

Lo dekhle aye munkir qudrat mere khwaja ki


Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin

Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin


He gulshan e hasti me nikhat mere khwaja ki

Sad shukr ke he dil me ulfat mere khwaja ki

Konen me gar tuj ko usrat ki tamanna he

"Ayyub" shikasta kar midhat mere khwaja ki


Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin

Almadad khwaja e din hind ke mahe mubin


🗣️Sabir Raza Azhari Sahab (Surat)

Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan