Tera Naam Khwaja Moinuddin Tu Rasool E Paak Ki Aal Hai
Tera Naam Khwaja Moinuddin Tu Rasool E Paak Ki Aal Hai...
Teri Shaan Khawaja E Khwajgaan Tujhe Bekasoon Ka Khyaal Hai...
Mera Bigda Waqt Sanwaar Do...
Mere Khwaja Mujhko Nawaaz Do...
Teri Ik Nigaah Ki Baat Hai...
Meri Zindagi Ka Sawaal Hai!!!
Mera Khwaja Ataa E Rasool Hai...
Wo Bahar E Chisht Ka Phool Hai...
Wo Bahar E Gulshan E Fatima...
Chaman E Ali Ka Nihaal Hai!!!
(Irade Roz Bante Hai
Bankar Toot Jate Hai
Wahi Ajmer Jate Hai
Jise Khwaja Bulate Hai)
Jise Chaha Dar Pe Bula Liya
Jise Chaha Apna Bana Liya
Ye Bade Karam Ke Hai Faisle
Ye Bade Naseeb Ki Baat Hai
Gareeb Aaye Hai Dar Pe Tere Gareeb Nawaz
Karo Gareeb Nawazi Mere Gareeb Nawaz
Niyaz O Naaz Ka Kitna Azeem Sangam Hai
Idhar Gareeb Khade Hai Udhar Gareeb Nawaz
Tumhari Zaat Se Mera Bada Ta'alluq Hai
Ke Mai Gareeb Bada Tum Bade Gareeb Nawaz
Main Gada E Khwaja E Chisht Hun...
Mujhe Is Gadai Pe Naaz Hai...
Mera Naaz Khwaja Pe Kyun Na Ho...
Mera Khwaja Banda Nawaaz Hai!!!
Yahan Bheek Milti Hai Be Gumaan...
Ye Bade Sakhi Ka Hai Aastaan...
Yahan Sab Ki Bharti Hain Jholiyan...
Ye Dar E Gareeb Nawaaz Hai!!!
Comments
Post a Comment