Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai

Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai

Munqabat e Huzoor Tajushshariyah

Mustafa Ka Hai Dulara

Ghaus o Khwaja Ka Wo Pyara

Sunniyat Ka Jo Maahe Mubee'n Hai

Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai


Gulshan E Aala Hazrat Me Ek Gul Khila 

Jisne Lakho Gulista'n Ko Mehka Diya

Fazl e Rab Se Wo Tajushshariyah Bana

Maslak e Aala Hazrat Ko Phaila Diya


Jiska Martaba Bada Hai

Qaum Ka Wo Peshwa Hai

Mere Dil Ka Jo Masnad Nashee'n Hai 

Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai


Isteqamat Ka Jo Ek Chattan Hai

Haa Wahi Sher e Ahmad Raza Khan Hai

Aaj Tak Jisse Batil Pareshan Hai

Sulehkulli Ki Khatir Wo Tufaan Hai


Ahle Khama Ke Gagan Me

Razm e Gah e Ilm O Fan Me

Jo Kisi Se Bhi Haraa Nahi Hai

Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai


Dekh Kar Jisko Kuffaar Kalma Padhe

Aur Fussaq O Fujjaar Tauba Kare

Ahle Imaan Ka Noor e Imaa'n Badhe

Haa'n Magar Uske Hasid To Jal Bhun Mare


Jo Bhi Uski Deed Paye

Husn e Duniya Bhool Jaye

Is Qadr Uska Chehra Hasee'n Hai

Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai


Ilm O Irfaan Ka Hai Wo Koh e Gira'n

Jaam e Ishqe Risalat Ka Hai Saqiyaa

Fazl e Aslaaf ka Hai Wo Durr e Fashaa'n

Hai Zamane Me Har Samr Jiska Nishaa'n


Wo Ata e Mustafa Hai

Naib e Hamid Raza Hai

Jo Uloom e Raza Ka Amee'n Hai

Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai


Aala Hazrat Ke Seerat Ka Mazhar Bana

Batilo Ke Liye Tigh e Haidar Bana

Jiski Sohbat Se Patthar Bhi Gohar Bana

Dahr Me Bas Wahi Fakhre Azhar Bana


Jo Sham'e Ahmad Ka Parwana

Wo Hai Murshid e Zamana

Jisse Tabinda Mehr E Yaqee'n Hai

Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai


Jiski Hasti Sarapa Hi Di Raushni

Uske Dam Se Chhati Kyu Na Phir Teergi

Uska Har Ek Qadam Rashk e Tabandgi

Deed Se Jiski Khilti Hai Dil Ki Qali


Wo Ata E Panjatan Hai

Najish e Ahle Sunan Hai

Zaat Jiski Badhi Dil Nashee'n Hai 

Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai


Qaid E Ahle Sunnat Hai Jo Marhaba

Har Taraf Uska Hai Tazkira

Qazi E Hind Hai Shah Asjad Raza

Yani Akhtar Raza Ka Hai Wo Aa'ina


Sab Ka Wo Noor e Nazar Hai

Wo Raza Ka Pisar Hai

Sunniyat Jiske Zer Naghee'n Hai

Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai


Haq Par Hai Kaun Ye Kar Gaya Faisla

Mere Akhtar Raza Ka Janaza Fushaa

Akhtar E Qadri Khuld Me Chal Diya

Jaate Jaate Khabar Jo Hame De Gaya


Haa Khuda Ka Wo Wali Hai

Fazl E Rabb Se Jannati Hai

Qalb E *Ayyub* Ka Jo Makee'n Hai

Aala Hazrat Ka Wo Janashee'n Hai


Voice 🎤 Abdul Mustafa Razvi Adoni

Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan