Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
DHOOM YE URS E TAAJUSHSHRIAH KI HAI
Munqabat e Huzoor Tajushshariyah
Ye Jhalak Akhtar e Burj e Taqwa Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Raushni Unke Zaat e Mujalla Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Rehmato Ke Kohan Jagmagane Lage
Sunniyat Ke Chaman Muskurane Lage
Kya Mahek Us Gul e Qadriya Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Gungunate Chalo Nagme Gaate Chalo
Apne Murshid Ke Dar Muskurate Chalo
Ye Sada Un Ke Har Ek Shayda Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Sab Deewane Chale Gham Mitaane Chale
Un Ke Dar Apni Bigdi Banane Chale
Sab Pe Chashm e Karam Us Maseeha Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Ilm Ke Chand Taaro Ki Baraat Hai
Aur Mubarak Salamat Ki Saugaat Hai
Waah Kya Shaan Us Razvi Dulha Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Maut Se Pehle Hi Apne Keh Diya
Akhtar e Qadri Khuld Me Chal Diya
Ye Zabaa Ek Jannat Raseeda Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
BaadShahe Sukhan Taajdar e Qalam
Sab Ne Mana Unhein Kya Arab Kya Ajab
Aaisi Ranaayi Mehmaan e Kaaba Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Naaib e Noori Aur Jaanashin e Raza
Ilm O Hikmat Me Hai Wo Ameen e Raza
Shaan Kya Us Shah e Bazm e Ifta Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Shah Asjad Ke Andaaz Ko Dekhiye
Aap Ke Chehra e Naaz Ko Dekhiye
Hoo Ba Hoo Sab Jhalak Un Ke Baba Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Ya Khuda Ye Gharana Salamat Rahe
Haq Ka Ye Ashiyaana Salamat Rahe
Is Chaman Me Mahek Baag e Taiba Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Gaus O Khwaja Raza Hamid o Mustafa
Un Ke Ashiq Pe Hai Sab Ka Daste Ataa
Kya Pazeerayi Us Dar Ke Magta Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Baag e Dil Khil Utha Shaak Par Phal Pade
Aya Unka Bulawa To Hum Chal Pade
Fikr Ab To Rukawat Ka Bandha Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Har Bala Har Musibat Utar Jayegi
Zindagi Ek Pal Me Sawarjayegi
Baat Bas Fakhr e Azhar Ki Kirpa Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
Leke Aaya Fareedi Jo Nazr e Sukhan
Kiyun Na Jhoome Ise Sun Ke Ahl e Sunann
Manqabat Ye Raza Ke Nabeera Ki Hai
Dhoom Ye Urs e Taajushshriah Ki Hai
✍🏻Maulana Salman Raza Fareedi Misbahi (Oman)
Comments
Post a Comment