Mere Tajushshariyah, Aapka Faizan Jaari Hai

Mere Tajushshariyah, Aapka Faizan Jaari Hai.

Munqabat e Huzoor Tajushshariyah

Ameer E Ahle Sunnat, Janasheen E Mufti E Aazam,

Mere Tajushshariyah, Aapka Faizan Jaari Hai,

Wafadaaraan E Maslak Par Hamesha, Har Ghadi, Har Dam,

Mere Tajushshariyah, Aapka Faizan Jaari Hai.


Hamse Door Sulahkulliyat Kiski Badaulat Hai,

Yaqeenan Fakhr E Azhar Aap Hi Ki Ye Inaayat Hai,

Hame Maalum Hai Achchhi Tarah Ye Jante Hai Ham,

Mere Tajushshariyah, Aapka Faizan Jaari Hai.


Aseer E Ghaus O Khwaja, Paikar E Sidq O Safa Tum Ho,

Tum Hi Mehmaan E Ka'aba, Waaris E Ilm E Raza Tum Ho,

Gawahi De Raha Hai Lehlaha Kar Azhari Parcham,

Mere Tajushshariyah, Aapka Faizan Jaari Hai.


Adalat Se Kahi Behtar, Abhi Ham Faisla Karde,

Jo Aaye Samne Gustakh, Sar Tan Se Juda Karde,

Hukumat Ko Batade'n Sunniyo'n Pe Aaj Bhi Pai'ham,

Mere Tajushshariyah Aap Ka Faizan Jaari Hai.


Wahi Chehra, Wahi Lehja, Wahi Andaaz Baate Hai,

Kare Wo Guftagu To Ham Wahi Awaaz Paate Hai,

Ba Shakl E Qaid E Millat Mere Mohsin, Mere Hamdam,

Mere Tajushshariyah Aap Ka Faizan Jaari Hai.


Teri Azmat Ka Charcha, Basti Basti Qariya Qariya Hai,

Tu Apne Waqt, Apne Daur Ka Tajushshariyah Hai,

Faqad Mai Hi Nahi Balke Ye Khutba Padhta Hai A'alam,

Mere Tajushshariyah Aap Ka Faizan Jaari Hai.


Wasi Ka Kaise Bhatkaye Koi Ruj'haan Ay Murshid,

Aqeeda Hi Nahi Ispar To Hai Imaan Ay Murshid,

Jo Shabnam Sa Barasta Rehta Hai Har Waqt, Hat Mausam,

Mere Tajushshariyah Aap Ka Faizan Jaari Hai.


Written & Recite By Sayyed Abdul Wasi Sahab

Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan