Zaat Par Unki Nazaa’n Hain Ahle Nazar, Khubaroo Khubseerat Hain Akhtar Raza,

BADE KHUBSURAT HAI TAJUSHSHARIYAH

Munqabat e Huzoor Tajushshariyah 


Zaat Par Unki Nazaa’n Hain Ahle Nazar,

Khubaroo Khubseerat Hain Akhtar Raza,

Paikar-E-Zohd-O-Taqwa Zamaana Kahe,

Aur Taj-E-Shariat Hain Akhtar Raza.


Jo Hain Khud Bhi Wali, Jin Ke Walid Wali,

Aise Naana Ki Hai Naaz Taqwa Ko Bhi,

Daada Hamid Raza Jin Ka Saani Nahi,

Aur Gul-E-Aala Hazrat Hain Akhtar Raza.


Aaye Gulshan Mein Woh Phool Khilne Lage,

Koyal-O-Qumri, Maina Chahakne Lage,

Daaliyaan, Guncha-O-Gul Mahakne Lage,

Gulshan-O-Gul Ki Zeenat Hain Akhtar Raza.


Jo Bhi Un Se Juda, Roshni Mil Gayi,

Us Ke Imaan Ko Taazgi Mil Gayi,

Mit Gayi Hai Khudi, Bekhudi Mil Gayi,

Rehbar-E-Deen-O-Millat Hain Akhtar Raza.


Woh Musannif, Muhaddis, Mufakkir Bhi Hain,

Woh Muhaqqiq, Mudabbir, Mufassir Bhi Hain,

Woh Faqeeh-E-Zamaan Hain, Munaazir Bhi Hain,

Aur Peer-E-Tareeqat Hain Akhtar Raza.


Woh Jo Mehfil Mein Aaye, Samaa Ban Gaya,

Un Ke Noorani Rukh Se Jo Parda Utha,

Kya Ajam, Kya Arab, Har Kisi Ne Kaha,

Kis Qadar Khubsoorat Hain Akhtar Raza.


Us Ke Jaisa Na Paoge Murshid Yahaan,

Chhaan Lo Chaahe Tum Mil Ke Saara Jahaan,

Fakhr-E-Azhar Hain Woh, Sunniyon Ki Woh Jaan,

Aur Saraapa Karamat Hain Akhtar Raza.


Baat Un Ke Janaaze Ki Jab Bhi Hui,

Allah Allah! Hairaan Hua Har Koi,

Dil Hai Jin Par Fida, Aasim-Ul-Qadri,

Haan Wohi Pyare Hazrat Hain Akhtar Raza.


Zaat Par Unki Nazaa’n Hain Ahle Nazar,

Khubaroo Khubseerat Hain Akhtar Raza,

Paikar-E-Zohd-O-Taqwa Zamaana Kahe,

Aur Taj-E-Shariat Hain Akhtar Raza.


*✍🏻Muhammad Asim Ul Qadri Muradabadi*
🎤Sayyed Hassan Ullah Hussaini 👈🏻

Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan