Posts

Showing posts from July, 2025

Aisa Baadshah Hussain Hai

Aisa Baadshah Hussain Hai  Na Puchhiye Ke Kya Hussain Hai Khuda Ke Deen Ka Nakhuda Sahadat ki Ibtida Karam Ki Intiha Hussain Hai Ye Baat Kis Qadr Hasee'n Jo Keh Gaye Moinuddin Ke Deen Ki Panah Hussain Hai Aisa Baadshah Hussain Hai Fana Ke Baad Phir Mujhe Nayi Hayaat Mil Gayi Fishar Se Azaab Se Mujhe Nijaat Mil Gayi Sawaal Jab Kiya Gaya Hai Kaun Tera Rehnuma To Maine Keh Diya Hussain Hai  Mere Hussain Ka Baya'n Jise Bhi Naagawar Hai Wo Bad Naseeb Bad Nasab Khuda Ki Uspe Maar Hai Are Oh Dushman E Azal, Mar Ke Tu Qabr Me Chal Pata Chalega Kya Hussain Hai  Karega Jo Mukhalifat Mere Hussain Ki Yaha'n Wo Hoga Hashr Hashr Me Ke Al Hafeez O 'Al Amaa'n Jaha'n Bhi Chhupne Jaoge Kahi Bhi Bach Na Paoge Ke Har Jagah Mera Hussain Hai 🎤Sayyed Abdul Wasi Sahab

Mere Hussain Tujhe Salam, Assalam Ya Hussain

Mere Hussain Tujhe Salam, Mere Hussain Tujhe Salaam, Assalam Ya Hussain Assalam Ya Hussain Jinko Dhoke Se Kufe Bulaya Gaya Jinko Ko Baithe Bithaye Sataya Gaya Jinko Ke Bachcho Ko Bhuka/Pyasa Rulaya Gaya Jinki Ki Garden Pe Khanjar Chalaya Gaya Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam Mere Hussain Tujhe Salam, Assalam Ya Hussain Kar liya Nosh Jis Ne Shahadat Ka Jaam Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Mere Hussain Tujhe Salaam Jisne Haqq Karbala Me Adaa Kar Diya Apne Nana Ka Wada Wafa Kar Diya Ghar Ka Ghar Sab Supurd e Khuda Kardiya Karliya Nosh Jisne Shahadat Ka Jaam Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam Jiska Jannat Se Joda Mangaya Gaya Jisko Doshe Nabi Par Bithaya Gaya Jiske Bhai Ko Zeher Pilaya Gaya Jis Ko Teero Se Chhalni Karaya Gaya Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Jo Karke Wo Sue Shahe Anaam Salaam Sada Ye Aati Thi Har Samt Se Salaam Salaam Badhe Hussain Jo Taiba Se Karbala Ki Taraf Jaha Pohochte The Karta Tha Wo Maqam Salaam Badha Hujoom Tha Taida Ki Pehli Nasl Par Khade ...

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain! Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain! Zahra ki nigaahon ka hai noor-e-nazar Shabbir Maula-e-wilayat ka hai lakht-e-jigar Shabbir Sultan-e-Madina ka be-misl guhar Shabbir Allah ke sheron ka hai sher-e-babar Shabbir Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain! Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain! Faizan-e-Nabi se hai sairaab mera Shabbir Hai charkh-e-shahadat ka mahtaab mera Shabbir Milta hi nahin ham-sar duniya mein kahin jis ka Zahra ka hai wo durr-e-nayaab mera Shabbir Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain! Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain! Mahtaab-o-gagan bahr-e-zakhkhaar Husaini hai Maula ke karam se ye sansaar Husaini hai Ye dil bhi Husaini hai, ye jaan bhi Husaini hai Islam ki fitrat ka har taar Husaini hai Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain! Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain! Karbal ki zamin par ik nayaab sa manzar hai Ik samt hazaron hain, ik samt bahattar hai Phir gha...