Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Zahra ki nigaahon ka hai noor-e-nazar Shabbir

Maula-e-wilayat ka hai lakht-e-jigar Shabbir

Sultan-e-Madina ka be-misl guhar Shabbir

Allah ke sheron ka hai sher-e-babar Shabbir

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Faizan-e-Nabi se hai sairaab mera Shabbir

Hai charkh-e-shahadat ka mahtaab mera Shabbir

Milta hi nahin ham-sar duniya mein kahin jis ka

Zahra ka hai wo durr-e-nayaab mera Shabbir

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Mahtaab-o-gagan bahr-e-zakhkhaar Husaini hai

Maula ke karam se ye sansaar Husaini hai

Ye dil bhi Husaini hai, ye jaan bhi Husaini hai

Islam ki fitrat ka har taar Husaini hai

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Karbal ki zamin par ik nayaab sa manzar hai

Ik samt hazaron hain, ik samt bahattar hai

Phir ghaul-e-Yazidi mein kyun khauf hai bhagdad hai

Maidaan mein nikla jab wo sibt-e-payambar hai

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

'Abbas se seekha hai duniya ne wafa karna

Akbar ne sikhaya hai millat ka difa' karna

Asghar ne sikhaya hai jaan apni fida karna

Zainab ne diya dars-e-andaz-e-rida karna

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Wo sham'-e-shahadat hai, dil us ka deewana hai

Har ek zabaan par ab us ka hi tarana hai

Us zaat ki rif'at ho kis munh se bayan aakhir

Zahra ka dulara to yakta-e-zamana hai

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Yun gardish-e-dauran se ahbaab na ghabrao

Is tarz-e-mohabbat ko har samt hi failao

Milna hai agar tum ko Sultan-e-shahidaan se

Meeran se ijazat lo, Karbal ko chale jao

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Guftaar Husaini rakh, kirdaar Husaini rakh

Zaalim ke muqaabil tu lalkaar Husaini rakh

Paana hai agar nusrat ghar-baar Husaini rakh

Har mod pe tu apna me'yaar Husaini rakh

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Yunhi nahin wo har ek ke dil mein samaya hai

Tareekh raqam kar ke haan us ne dikhaya hai

Fitna-e-Yazidi ko duniya se mitaya hai

Shabbir ne Karbal mein Islam bachaya hai

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Ae Shah! Mujhe apni ulfat mein guma dije

Ab mujh ko tareeqat ka ik jaam pila dije

Lillah mujhe apni midhat ka sila dije

Ab mere muqaddar ki bigdi ko bana dije

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Ae kaash! Main ban jaun darbaan-e-dar-e-Zahra

Sau jaan se ye dil hai qurbaan-e-dar-e-Zahra

Lehrae na kyun burj-e-rif'at pe 'alam is ka

Ayyub pe jaari hai faizan-e-dar-e-Zahra

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

Al-madad Maula Hussain! Fatima Zahra ke chain!

✍🏻Maulana Ayyub Raza Amjadi 

🎤Abdul Mustafa Razvi Adoni

Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan