Bareilly Ke Raza ! Bareilly Ke Raza !

Bareilly Ke Raza ! Bareilly Ke Raza !

Bareilly Ke Raza ! Bareilly Ke Raza !


Ahmad Raza Shukriya ! Mere Raza Shukriya !

Mere Raza Shukriya ! Mere Raza Shukriya ! Mere Raza Shukriya !


Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera

Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera


'Ishq-O-Mohabbat 'Ishq-O-Mohabbat !

Aa'la Hazrat Aa'la Hazrat !


Aap Se Seekha Hai Ham Ne, Ai Raza ! 'Ishq-E-Nabi

Aap Ne Ham Ko Banaaya 'Aashiq-E-Maula-'Ali

Aap Ka Ehsaan Ye Kaise Bhulaaya Jayega

(Ahmad Raza ! Ahmad Raza !)

Tera Hi Charcha Rahega, Ay Bareilly Ke Raza !


Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera

Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera

Naam e Raza Meri Sada

Naam e Raza Meri Sada


Sunniyo'n Ke Peshwa, Ay Imaam Ahmad Raza !

Sunniyo'n Ke Rehnuma, Ay Imaam Ahmad Raza !

Naa't Padhna, Naa't Likhna, Naa't Sunna Kaam Tha

Aap Ka Khaama Faqat Khair-Ul-Wara Ke Naam Tha

Jab Talak Jaari Safar Hai Mid'hat-E-Sarkaar Ka

(Ahmad Raza ! Ahmad Raza !)

Tera Hi Charcha Rahega, Ay Bareilly Ke Raza !


Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera

Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera


(Maslak e Raza Hai Meri Pehcha'n)


'Ishq-O-Mohabbat 'Ishq-O-Mohabbat !

Aa'la Hazrat Aa'la Hazrat !


Sunniyo'n Ko Aap Ne Bakhsha Fataawa Razwiya

Kanzul-Imaa'n De Ke Imaa'n Aur Pukhta Kar

Diya

Jab Bhi Imaan-O-'Aqeede Par Chhidega Tabsara

(Ahmad Raza ! Ahmad Raza !)

Tera Hi Charcha Rahega, Ay Bareilly Ke Raza !


Mustafa Ke Paale Hai.n, Ham Bareilly Waale

Hai'n

Dil Se Bhole-Bhaale Hai'n, Ham Bareilly Waale Hai'n

Dam Raza Ka Bharte Hai'n, Ham Bareilly Waale Hai'n

Khwaja Khwaja Karte Hai'n, Ham Bareilly Waale Hai'n


Aap Se Seekha Adab Sarkaar Ke As'haab Ka

Sayyida Ka Aur Un Ki Aal Ka, Ahbaab Ka

Jab Talak Qaa'im Rahega Sayyido'n Ka Silsila

(Ahmad Raza! Ahmad Raza!)

Tera Hi Charcha Rahega, Ai Bareilly Ke Raza !


Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera

Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera


Maslak e Raza Hai Meri Pehcha'n

Maslak e Raza Hai Meri Pehcha'n


Aap Ahl-E-Shar Ki Khaatir Haidari Shamsheer

Hai'n

Hazrat-E-Maula 'Umar Ke Qahr Ki Tasweer Hai'n

Zikr Hoga Jab Ashiddau 'Alal-Kuffaar Ka

(Ahmad Raza ! Ahmad Raza !)

Tera Hi Charcha Rahega, Ay Bareilly Ke Raza !


Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera

Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera


'Ishq-O-Mohabbat 'Ishq-O-Mohabbat !

Aa'la Hazrat Aa'la Hazrat !

(Sayyadi Murshidi Ahmad Raza Ahmad Raza)


Laakh Ho Jaaye Mukhaalif Kul Jahaa'n Kuchh Gham Nahi'n

Mujh Ko Un Se 'Ishq Hai, Jo Hoga Hargiz Kam Nahi

'Umr-Bhar, Shauq-E-Fareedi ! Mai'n Kahunga Barmalaa

(Ahmad Raza ! Ahmad Raza !)

Tera Hi Charcha Rahega, Ay Bareilly Ke Raza !


Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera

Shukriya Ahmad Raza ! Shukriya Hai Tera



✍🏻Poet:

Shauq Fareedi, India

🎤Naat-Khwaan:

Hafiz Tahir Qadri & Hafiz Ahsan Qadri

Comments

Popular posts from this blog

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ye Range Raza Range Raza Range Raza Hai

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan