Posts

Showing posts from December, 2024

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai

Ham As'hab Ke Khadim, Unke Naukar Hai Ahle Baite Nabi ﷺ Ke Ghar Ke Naukar Hai Ham Siddiq Umar Wale, Ham Usmaa'n Haidar Wale Kabhi Na Jhukte Hai, Kabhi Na Bikte Hai Mere Nabi ﷺ Ke Saare As'hab Hai Zindabad Abu Bakr Siddiq, Umar Khattab Hai Zindabaad Usma'n Ghani Bhi Pyare Hai, Maula Ali Bhi Hamare Hai Momin Ke Dil Me, Har Dam Ye Dhadakte Hai Zikre Ali To Yaaro'n, Chehre Dikhlaye Zikre Muawiya Logo Nasle Batlaye Ali Muawiya Hai Bhai, Raahe Azimat Ke Rahi Ham Ye Kehte Hai, Munkir Jalte Hai Pyari Ammi Ayesha, Tujh Par Jaa'n Qurbaan Ammi Teri Iffat Par, Meri Maa Qurbaan Ham Tere Hi Bete Hai, Sunle Duniye Ke Kehte Hai Ammi Ki Khatir Ham, Shauk Se Marte Hai Zehra Ke Lakhte Jigar, Karbal Me Datt Jaye'n Batil Se Darte Nahi, Phir Chahe Kat Jaye'n Pyare Nabi ﷺ Nawaz Hai, Karbal Me Wo Pyase Hai Neze'n Pe Chadhkar Bhi, Quran Wo Padhte Hai Munkir Hai Murtad Hai, As'hab Se Jalte Hai Pi'tte Hai Wo Seena, Khanjar Bhi Chalte Hai Jal Jal Ke Mar Jayenge, Phir Wo...

As'hab e Nabiﷺ, As'hab e Nabiﷺ

As'hab e Nabiﷺ, As'hab e Nabiﷺ As'hab E Muhammadﷺ Haq Ke Wali Abu Bakr O Umar, Usman O Ali Wo Sham'e Haram Ke Parwane Wo Khatm E Rusul Ke Diwane Abu Bakr O Umar, Usman O Ali Yaaraan e Nabiﷺ Me Sab Se Jali Abu Bakr O Umar, Usman O Ali Islam Ne Jinko Izzat Di Islam Ko Quwwat Jinse Mili Imaa'n Ki Riwayat Jinse Chali Abu Bakr O Umar, Usman O Ali Yaaraan e Nabiﷺ Me Sab Se Jali Abu Bakr O Umar, Usman O Ali Tarteeb Khilafat Bhi Hai Yahi Tarteeb e Fazilat Bhi Hai Yahi Lagti Hai Yahi Tarteeb Bhali Abu Bakr O Umar, Usman O Ali Yaaraan e Nabiﷺ Me Sab Se Jali Abu Bakr O Umar, Usman O Ali Ye Lo'h o Qalam Ki Zeenat Hai Ye Qat Ba Haram Ki Zeenat Hai Likh Shaha Nafis Kab Kisko Jali Abu Bakr O Umar, Usman O Ali Yaaraan e Nabiﷺ Me Sab Se Jali Abu Bakr O Umar, Usman O Ali Is Najm Ki Khushboo Phailegi Ye Khushbu Har Soo' Phailegi Gunjega Ye Nagma Gali Gali Abu Bakr O Umar, Usman O Ali Yaaraan e Nabiﷺ Me Sab Se Jali Abu Bakr O Umar, Usman O Ali

ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ

ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ Rehmatei'n Haq Seba Ki Saba Jab Chali Mustafaﷺ Ke Chaman Me Khili Do Qali Jinki Maa Fatima Aur Baba Ali Deen e Islam Ko Jinse Shohrat Mili Deen Ki Rag Me Jari Hai Unka Lahu ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ Aayi Aulad e Shabbir e Wasit Me Jab Ahle Hindusta'n Pe Hua Fazle Rab Sahibe Dawatus Sughra Jinka Laqab Nara e Haidri Gunj Utha Chaarsoo'n ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ Unki Aulad Me Phool Jitne Khile'n Kuchh To Marehra Aur Kuchh Madine Gaye Janashee'n Ek Aake Masauli Base'n Qutbe Basa'n Ke Pehle Khalifa Bane'n Khooshbu e Panjatan Uska Hi Charsoo'n ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ ٱللّٰهُ Jo Masauli Ko Hasil H...

Masauli Ke Sarkar Gulzar e Millat

Masauli Ke Sarkar Gulzar E Millat Masauli Ke Sarkar Gulzar e Millat Bareilly Ka Hathyaar Gulzar E Millat Har Ek Firqa e Batila Ke Liye Hai Mujahid Ki Lalkar Gulzar e Millat Hamesha Rahe'n Hai, Hamesha Rahenge Raza Ke Wafadaar Gulzar e Millat Yahi Rooh e Akhtar Raza Keh Rahi Hai Ke Hashti Hai Damdaar Gulzar e Millat Mujhe Ab Dawa Ki Zarurat Nahi'n Hai Rahu'n Tera Bimaar Gulzar e Millat Na Doobe Gi Kashti Kabhi Ab Bhawar Me Ke Hai Mere Fatwaar Gulzar e Millat Jo Dushman Hai Tera Masauli Me Laakar Karu'n Usko Bekaar Gulzar e Millat Kaha'n Par Hai Sher e Khuda Wala Rakha Wo Jo Faklidaar Gulzar e Millat Waha Sunniyat Ka Huwa Bol Bala Jaha'n Pohoche Ek Baar Gulzar E Millat Zubaane Asad Aur Wasi Keh Rahi Hai Hame Tumse Hai Pyaar Gulzar E Millat Qasam Khake Kehta Hoo Peero Me Kohar Hai Behad Milansaar Gulzar e Millat

Jaan E Man Jaan E Zamana Sayyedi Akhtar Raza

Jaan E Man Jaan E Zamana Sayyedi Akhtar Raza Jaan E Man Jaan E Zamana Sayyedi Akhtar Raza Dil He Mai Rehna Na Jana Sayyedi Akhtar Raza Dil Mai Hai Tasweer Teri Jab Mai Chahuñ Dekh luñ Bas Mujhe Sar Hai Jhukana Sayyedi Akhtar Raza Mai Ye Kaise Maan luñ Ke Aap Dunya Se Gaye Aap Hai Maine Ye Maana Sayyedi Akhtar Raza Jhoom Kar Nasleñ Hamari Ye Kaheñgi Fakhr Se Aap ka Paaya Zamana Sayyedi Akhtar Raza (E̶k̶ N̶a̶y̶a̶ F̶i̶t̶n̶a̶ U̶t̶h̶a̶a̶ H̶a̶i̶ S̶a̶a̶q̶i̶b̶ E̶ S̶h̶a̶a̶m̶i̶ K̶a̶ A̶b̶ H̶o̶ N̶a̶z̶a̶r̶ E̶k̶ N̶a̶a̶-̶S̶i̶h̶a̶n̶a̶ S̶a̶y̶y̶a̶d̶i̶ A̶k̶h̶t̶a̶r̶ R̶a̶z̶a̶) Aalahazrat Mufti E Aazam The Phir Akhtar Raza Ab Hai Asjad Ka Zamaana Sayyedi Akhtar Raza Asjad E Millat Humaare Qaaid E Ahle Sunan Markazi Tera Gharaana Sayyedi Akhtar Raza Aap Hai Aur Aap Hi Ke Baad Hussam O Humaam Aap Hi Ne Ye Kaha Na Sayyedi Akhtar Raza Jab Parhi Naateiñ Wasi Ne Aapne Ki Hai Dua Ho Qubool Ab Ye Sunaana Sayyedi Akhtar Raza

Keh Raha Hai Har Diwana Sayyadi Akhtar Raza

Keh Raha Hai Har Diwana Sayyadi Akhtar Raza Keh Raha Hai Har Diwana Sayyadi Akhtar Raza Jaan E Man Jaan E Zamana Sayyadi Akhtar Raza Noor E Shahe Ambiya Se Aapka Pur Noor Hai Allah Allah Astaana Sayyadi Akhtar Raza Aab E Kausar Jab Qayamat Me Mile Sarkar Se To Apne Hatho Se Pilana Sayyadi Akhtar Raza Koi Hai Ahmed Raza Aur Koi Hai Noori Miya'n Hai Tera A'ala Gharana Sayyadi Akhtar Raza Hiddat E Khurshid E Mehshar Se Bachane Ke Liye Apne Daman Ne Chhupana Sayyadi Akhtar Raza Taj Sar Par Jusha'riyat Ka Saja Hai Aapke Lag Raha Hai Wo Suhana Sayyadi Akhtar Raza Khwab Me Aakar Sarapa Ek Din Apna Mujhe Fazle Maula Se Dikhana Sayyadi Akhtar Raza Roz E Mehshar Hath Mera Lekar Apne Hath Me Aala Hazrat Se Milana Sayyadi Akhtar Raza  Qalb E Mashood E Raza Ki Ye Tamanna Hai Huzoor Khwab Me Tashreef Lana Sayyadi Akhtar Raza

Kaash Ek Roz Ghar Mere Ghaus Ul Wara Aap Tashreef Laaye To Kya Puchhna

Kaash Ek Roz Ghar Mere Ghaus Ul Wara Aap Tashreef Laaye To Kya Puchhna Kaash Ek Roz Ghar Mere Ghaus Ul Wara Aap Tashreef Laaye To Kya Puchhna Apne Noorani Qadmo'n Se Ghar Ko Mere Aake Jannat Banaye To Kya Puchhna Ghaus e Aazan Ne Mujh Pe Karam Ye Kiya Mujh Se Aasi Ko Roze Pe Bulwa Liya Ab Inhi Jaliyo'n Me Mujhe Ek Din Apna Jalwa Dikhaye To Kya Puchhna Ek Din Jab Saje Mehfil e Mustafa Ghaus e Aazam Ho Aur Ho Sabhi Auliya Mai'n Padhu Jhoom Ke Naat Sarkar Ki Sunke Wo Muskuraye To Kya Puchhna Ye Jigar Ho Ya Sar Ho Ya Ho Chashm e Nam Aapne To Kiye Hai Sabhi Pe Karam Ab Jara Mere Dil Pe Bhi Rakh De'n Qadam Dil Mera Jagmagaye'n To Kya Puchhna Jaam Irfan Ka Bahre Irfan Se Qutub o Abdal Aate Hai Pine Jise Kaash Gulzar Mujh Ko Bhi Ek Din Wahi Jaam Bhar Kar Pilaye To Kya Puchhna ✍🏻KALAM E GULZAR E MILLAT

RAZA RAZA RAZA RAZA, RAZA USI KA NAAM HAI

RAZA USI KA NAAM HAI Jo Sunniyat Ki Shaan Hai, Jo Qaum Ka Imaam Hai Nabi Ka Jo Ghulam Hai, Raza Usi Ka Naam Jo Razviyon Ki Shaan Hai, Jo Chishtiyon Ki Aan Hai Wo Qaadiri Pathaan Hai, Raza Usi Ka Naam Hai Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza...... Naqi Ka Pyara Laadla, Jo Ilm Ka Pahaad Hai Jo Najdiyoun Ke Waaste To Sher Ki Dahaad Hai Wahabi Jis Se Darr Gaye, Bohat Se Hi Sudhar Gaye, Ye Jiska Faiz E Aam Hai, Raza Usi Ka Naam Hai Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza...... Naseeb Wale Dekhte Hain Khwaab Me Huzoor Ko Magar Kisine Jaagte Me Dekha Haqq Ke Noor Ko Hai Aisa Kon Dosto? Batata Hu Suno Suno Wo Ishq Ka Imaam Hai, Raza Usi Ka Naam Hai Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza...... RazaKe Baad Mustafa Raza Hume Ataa Huve Jinhone Har Mureed Ko Milaya Ghous E Paak Se Abb Aysa Peer Hain Kahan? Siwaye Azhari Miyaan Diya Hume Inaam Hai Raza Usi Ka Naam Hai Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza...

Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani Idhar Bhi Nigahe Karam Gause Azam Karo Door Ranjo Alam Gause Azam Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani Khilata Pilata Hai Rabbe Do Alam Tuje Deke Apni Kasam Gause Azam Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani Muje Khvab Mai Aake Jalva Dikha Do Karo Aaj Ki Shab Karam Gause Azam Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani Tera Hu Mai Tera Mere Is Kahe Ka Sare Hashr Rakhna Bharam Gause Azam Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani Kahi Gir Na Jaau Khudara Sambhalo Mere Dagmagaye Kadam Gause Azam Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani Bahot Chubh Raha Hai Khudara Nikalo Mere Dil Se Teere Alam Gause Azam Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir Sakinal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani Tumhare Hi Dar Ka Rahu Mai Bhikari Nahi Khvahishe Takhte Jam Gause Azam Sha...

Aashiq e Madina Hun Mai Bareilly Wala Hun

AASHIQ E MADINA HUN MAI BAREILLY WALA HUN Aashiq e Madina Hun Mai Bareilly Wala Hun Ghaus Ka Mai Mangta Hun Mai Bareilly Wala Hun Khwaja/Sabir/MakhdoomeSima/AalaHazrat/PyareAkhtar Ka Mai Mangta Hun Mai Bareilly Wala Hun Khoon Jism Me Mere Hai Imam Jafar Ka Mai To Aale Zehra Hun Mai Bareilly Wala Hun Mere Jadde Amjad Hai Murtaza Ke Shahzade Mai Ali Ka Pota Hu Mai Bareilly Wala Hun Wo Raza Bareilly Ke Mo'jza Hai Aaqa Ka Naaz Unpe Karta Hu Mai Bareilly Wala Hu Aap Sab Se Kehta Hu Aap Bhi Kaha Kijiye Fakhr Se Mai Kehta Hu Mai Bareilly Wala Hu Mustafa Raza Khan Ki Dilnashee'n Du'ao Se Akhtar Ka Mai Sha'ida Hu Mai Bareilly Wala Hu Ay Wasi Masauli/Bareilly Ho Kalpi Ya Marehra Har Wali Ka Sha'ida Hu Mai Bareilly Wala Hu

Aye Bareli Mera Baab E Jannat Hai Tu

Aye Bareilly Mera Baab E Jannat Hai Tu Aye Bareilly Mera Baab E Jannat Hai Tu Yaani Jalwa Gah e Aala Hazrat Hai Tu Bil Yaqeen Markaz e Ahle Sunnat Hai Tu Yeh Teri Markaziyat Salamat Rahe Maslak e Aala Hazrat Salamat Rahe Naara Faiz E Raza Ka Lagata Rahu Najdiyon Ke Jigar Ko Jalaata Rahu Aur Kalaam e Raza Mai Sunata Rahu Faiz e Ahmed Raza Ta Qayamat Rahe Maslak e Aala Hazrat Salamat Rahe Ahle Imaan Tu Kyu Pareshan Hai Rehbari Ko Teri Kanzul Imaan Hai Har Qadam Par Yeh Tera Nigehban Hai Ya Khuda Yeh Amaanat Salamat Rahe Maslak e Aala Hazrat Salamat Rahe Aye Raza Hum Pe Tera Yeh Ehsan Hai Ke Bana Sunniyat Ki Tu Pehchaan Hai Tere Daaman Se Nisbat Meri Shaan Hai Nisbat e Aala Hazrat Salamat Rahe Maslak e Aala Hazrat Salamat Rahe Roze Mehshar Agar Mujh Se Puche Khuda Ke Bol Aaal e Rasool Tu Laya Hai Kya Toh Arz Kar Dunga Laya Hoon Ahmed Raza Ya Khuda Yeh Amaanat Salamat Rahe Maslak e Aala Hazrat Salamat Rahe Laakh Jalte Rahe Dushmanane Raza Kam Na Honge Kabhi Madha Khawan e Raza Keh Rahe Hai...

Ataye Kibriya Tum Aur Fazal E Mustafa Tum Ho

Ataye Kibriya Tum Aur Fazal E Mustafaﷺ Tum Ho Ataye Kibriya Tum Aur Fazal E Mustafa Tum Ho  Abu Bakar O Umar Usman O Haidar Ki Zia Tum Ho Huzoor E Qaid E Millat Bataoon Kiya Kiya Tum Ho  Shahe Taaj E Shariat Ka Chamakta Ayena Tum Ho. Khuda Rakhe Salamat Sunniyon Per Aap Ka Saya  Gulaman E Shahe Akhatar Raza Ka Aasra Tum Ho. Raza Ke Ilm Ke Mufti E Azam Ke Ho Tum Mazher  Jamaal E Hamid O Akhtar Raza Khan Ki Jila Tum Ho.  Mila Yoon Hi Nahi Ham Razviyoon Ko Aap Ka Daman  Wafa Dariye Akhtar Ka Sila Asjad Raza Tum Ho. Diya Jo Hath Daste Paak Main Tu Gaus Tak Pahunche  Mureedon Ke Liye Bagdad Ka Aik Rasta Tum Ho. Raza O Hamid O Noori O Akhatar Ke Wasile Se  Hamari Rahbari Ko Gaus Ne Jisko Chona Tum Ho. Tumehe Jo Chod Kar Chahen Ke Pahunche Fakhr E Azhar Tak  Abas Hai Sayidi Tanha Faqat Aik Wasta Tum Ho Jala Kar Soojish E Ishq E Nabi Main Mere Murshid Ne Rakha Asjad  Tumahara Naam Ke Suna Khara Tum Ho.  Dahada Jab Kabhi Haiwan E Batil Hogay...

Apna Markaz Hai Bareilly Ye Bata Kar Jhumo

Apna Markaz Hai Bareilly Ye Bata Kar Jhumo Apna Markaz Hai Bareilly Ye Bata Kar Jhumo Ham Raza Wale Hai Ehsaas Dilakar Jhumo Unhe Jaana Unhe Maana Na Rakha Gair Se Kaam Yahi Andaaz Yahi Shaan Bana Kar Jhumo Wafa Raah Me Hamko Sadaqat Wale Zinda Hai Sahih Ul Had Walo Ki Adalat Wale Zinda Hai Luta De'n Jaano Dil Aisi Sakhawat Wale Zinda Hai Subah Ko Khinch Le Aisi Shuja'at Wale Zinda Hai Na Ghabrao Abhi Ishq o Muhabbat Wale Zinda Hai Imam Ahmad Raza Khan Aala Hazrat Wale Zinda Hai Apna Markaz Hai Bareilly Ye Bata Kar Jhumo Dikhaye Masnaki Kirdaar Khul Kar Samne Aaye Raza Se Hai Jise Bhi Pyar Khul Kar Samne Aaye Rahe Aukaat Me Apni Har Ek Sunni Numa Sunni Kare Na Pith Pichhe Waar Khul Kar Samne Aaye Hussaini Hoo'n Yazudi Bhedhiyo'n Ka Dar Nahi Mujhko Har Ek Kamzar Apna Anjaam Khul Kar Samne Aaye Muhabbat Hai Agar Tajushshariah Se To Chup Kyu Hai Kare Na Ishq Ka Izhaar Khul Kar Samne Aaye Jab Kabhi Murshid e Barhaq Ki Baat Chale *Wasi* To Tum Pe Lazim Hai Ke Tum Wajd Me Aak...

Koi Kahi Jab Jab Karta Hai Charcha Mere Akhtar Ka

Koi Kahi Jab Jab Karta Hai Charcha Mere Akhtar Ka Koi Kahi Jab Jab Karta Hai Charcha Mere Akhtar Ka Samne Aajata Hai Fauran  Chehra Mere Akhtar Ka Mufti e Aazam Ka Taqwa Hai Taqwa Mere Akhtar Ka Aala Hazrat Ka Fatwa Hai Khutba Mere Akhtar Ka Aaj Bhi Unke Naam Ka Danka Arab o Azam Me Bajta Hai Andhe(Hasid/Sanabil) Dekhle Tu Bhi Jalwa Mere Akhtar Ka Mujhko Yaqee'n Hai Mil Jata To Husn Badhane Ki Khatir Taaj Mahal Bhi Sar Pe Rakhta Juta Mera Akhtar Ka Waris e Ilme Aala Hazrat Aapko Maana Ulama Ne Socho Zara Kitna Uncha Hai Rutba Mere Akhtar Ka Aur Mere Aaqa Mere Murshid Ka Darbaar Hai Aisa Wasi Achchhe Achchhe Mang Rahe Hai Sadqa Mere Akhtar Ka

Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah

Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Markaz e Ahle Sunnat Bareilly Se Ham Na Karenge Daga Aakhri Saans Tak Ham Wafadaar Ban Kar Rahenge Sadaa Aur Karenge Wafa Aakhri Saans Tak Wallah InshaAllah Wallah InshaAllah Wallah InshaAllah Wallah InshaAllah Ye Na Puchho Raza Ne Hame Kya Diya Daaldi Qalb Me Azmat E Mustafa Isliye Faisla Sunniyo'n Ne Kiya Lenge Naam e Raza Aakhri Saans Tak Wallah InshaAllah Wallah InshaAllah Wallah InshaAllah Wallah InshaAllah Sayyadi Murshidi Shah Akhtar Raza Ne Hi Operation Se Pehle Kaha Mujhko Behosh Hona Gawara Nahi Agarche Na Ho Shifa Aakhri Saans Tak Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Janashee'n Mufti e Aazam e Hind Ka Jab Utha Leke Hatho Me Kiske Raza Haq Ko Haq Aur Batil Ko Batil Kaha Na Kisi Se Dara Aakhri Saans Tak Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Wallah Gulshan e Fatma ke Shagufta Gulab Hai Mere Peer Ibne Ziya Lajawab Qadri Jaam Hatho Se Unke Piyo Kam Na Hoga Nasha Aakhri Saans Tak Wallah W...

Saja Hai Aisa Tera Aastan Gareeb Nawaz

Saja Hai Aisa Tera Aastan Gareeb Nawaz  Saja Hai Aisa Tera Aastan Gareeb Nawaz Nisaar Uspe Sabhi Kahkasha Gareeb Nawaz Tere Dayaar Ki Ranaiyo Ka Kya Khena Tera Dayar Hai Rask-e-Jina Gareeb Nawaz Tu Baagh E Sher E Kuda Ka Wo Phool Hai Jis Se Mehak Raha Hai Har Ek Gulsita Gareeb Nawaz Tumhi Se Hind Me Deen- E-Rasool-e -Akram Ki Hari Bhari Hai Sabhi Tahniya Gareeb Nawaz Jise Tu Chahe Use Tu Saltanat Ataa Karde Tumhare Qadmo Me Hai Kursiyaa'n Gareeb Nawaz Tumhare Qadmo Me Shaho Ne Taaj Sar Rakha  Tumhari Shaan Buland Asmaa'n Gareeb Nawaz Tumhare Lutfo Karam Ko Sadae Deta Hai Sisak Sisak Ke Dil-e-Natawa Gareeb Nawaz Huzoor Karde Jo Gulzaar Par Nigah E Karam Bane Mera Bhi Wahi Aashiya'n Garib Nawaz ✍🏻KALAM E HUZOOR GULZAR E MILLAT

Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza

Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Waqar E Shaan E Aulia Hasee'n Shiyaar E Ambiya'n Wo Hai Aata E Kibriya Wo Hai Raza E Mustafa Wo Jis Ke Dar Se Mil Gaya Madine Ka Hume Pata Sabhi Ka Hai Wo Peshwa Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza...... Nabi Ka Jaa'nisaar Hai Jalal E Chaar Yaar Hai Kabhi Wo Misl E Pyaar Hai Kabhi Wo Barq-baar Hai Qalam Me Aaisi Dhaar Hai Ali Ki Zulfiqaar Hai Ghazab Ka Moosvi Asaa Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza...... Raza Humara Hai Bharam Kisi Se Hum Nahi Hai Kam Kare Humara Sar Jo Kham Nahi Kisi Me Itna Dam Hume Nahi Koi Bhi Gham Chalao Goli Chahe Bum Kahege Phir Bhi Baa Khuda Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza...... Bareilly Ki Zameen Par Na Paida Hota Wo Agar Bhatak-tey Hum Idhar Udhar Zaleel Hote Dar-badar Khuda Ka Hogaya Karam Karam Ne Rakh Liya Bharam Humaare Beech Aagaya Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza Raza...... Agar Huzoor Huqm De To Be Zubaa...

Wo Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai

Wo Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai Woh Jisne Hame Kanzul Iman Diya Hai Iman o Aqide Ka Muhafiz Jo Huwa Hai Arbo Ajam Ne Jisko Imam Apna Kaha Hai Wo Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai Imaan Ke Lutero Se Hame Jisne Hai Bachaya Har Simt Se Uthte Huwe Fitno Ko Haraya Wo Jiska Qalam Khanjar e Khu'nkhwaar Huwa Hai Wo Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai Sarkarﷺ Ki Azmat Ka Pata Jisne Bataya Aur Ishq Muhabbat Ka Salika Bhi Sikhaya Taa Umr Jo Sarkarﷺ Ki Sunnat Pe Chala Hai Wo Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai Gustakh e Nabiﷺ Se Na Kabhi Hath Milaya Imaan Ka Takaza Hai Yahi Jisne Bataya Batil Ke Aage Jiska Kabhi Sar Na Jhuka Hai Wo Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai Darbaar e Risalatﷺ Me Jo Maqbool Huwa Hai Baghdad Se Faizan Jise Khaas Mila Hai Gulzar Jo Ajmer Mu'alla Ki Ata Hai Wo Mera Raza Mera Raza Mera Raza Hai

WOH HAI ZIA UL MUSTAFA WOH HAI ZIA UL MUSTAFA

WOH HAI ZIA UL MUSTAFA WOH HAI ZIA UL MUSTAFA Bachpan Main Waalid Ne Kaha Dekhna Aalim Hoga Bada, Kaise Hui Puri Yeh Dua Dekhlo Aaj Hai Jalwanuma Waaris e Ilm e Bul Ula Jinka Laqab Allama Hua, Dars e Hadith Ka Jisne Diya  WOH HAI ZIA UL MUSTAFA WOH HAI ZIA UL MUSTAFA Jinka Dil Noorani Hai, Noorani Peshaani Hai, Aisi Zor Bayaani Hai, Najdi Paani-Paani Hai, Kaun Hai Sultan Ul Fuqaha, Kaun Mumtaz Ul Fuqaha, Kaun Hai Amjad Ka Jalwa WOH HAI ZIA UL MUSTAFA WOH HAI ZIA UL MUSTAFA Ishq e Raza Par Zorr Diya Rishta Raza Se Jor Diya,  Maslak Jisne Chor Diya Us Se Rishta Tor Diya, Khauf Nahi Jisne Khayaa Jo Haq Tha Woh Bol Diya, Kaun Hai Mere Dil Ne Kaha WOH HAI ZIA UL MUSTAFA WOH HAI ZIA UL MUSTAFA Sadrush Shariah Ka Jalwa Hafiz e Millat Ka Taqwa, Mufti e Azam Ki Hai At'aa Taajush Shari'at Ki Hai Zia, Jo Fitna Bhi Jahaa Se Utha Jisne Muqaabla Tanha Kiya, Har Aashiq Yeh Bol Utha WOH HAI ZIA UL MUSTAFA WOH HAI ZIA UL MUSTAFA Charb Zubaani Main Samjha Aaj Hai Kis Se Paala Padha, Padri Kood ...

Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do Jaliyon Par Nigahen Jamee Hai

Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do Jaliyon Par Nigahen Jamee Hai Rukh Se Parda Ab Apne Hata Do Jaliyon Par Nigahen Jamee Hai Apna Jalwa Isi Me Dikhado Jaliyon Par Nigahe Jami Hai Ghous Ul Azam Ho Ghous Ul Wara Ho Noor Ho Noor E Salle Alaa Ho Kya Bayan Aapka Martaba Ho Dastagir Aur Mushkil Kusha Ho Aaj Deedar Apna Karado Jaliyon Par Nigahe Jami Hai Sunn Rahe Hai Wo Fariyad Meri Khaak Hogi Na Barabaad Meri Mai Kahi Bhi Maru Shahe Jilaan Rooh Pahuchegi Baghdad Meri Mujh Ko Parwas Ke Par Laga Do Jaliyon Par Nigahen Jami Hai Ik Mujrim Siyahkar Hu Mai Har Khata Ka Sazawar Hu Mai Mere Charo Taraf Hai Andhera Roshni Ka Talabgar Hu Mai Ek Diya Hi Samjh Kar Jala Do Ek Diya Hi Samajh Kar Jala Do Jaliyon Par Nigahe Jami Hai Wajd Me Aayega Sara Aalam Jab Pukarenge Ya Ghous Ul Azam Wo Nikal Aayenge Jaliyon Se Aur Kadmo Me Gir Jayenge Hum Fir Kahenge Ke Bigdi Bana Do Jaliyon Par Nigahe Jami Hai Fikr Dikho Khayalat Dikhao Ye Akidat Ye Jazbat Dikho Mai Hu Kiya Meri Aukat Dikho Samne Kaisi Zaat He Dikho Aa...

Noori Ki Hai Noori Zia Asjad Raza Asjad Raza

Noori Ki Hai Noori Zia Asjad Raza Asjad Raza Asjad Raza Asjad Raza Asjad Raza Asjad Raza Asjad Raza Asjad Raza Asjad Raza Asjad Raza Hai Waris e Fiqr e Raza Asjad Raza Asjad Raza Noori Ki Hai Noori Zia Asjad Raza Asjad Raza Siddique, Umar Ka Aaina, Usman Ki Sharm O Haya Aur Naib e Sher E Khuda Asjad Raza Asjad Raza Husn o Amal Qirdaar Me, Ilm o Amal Afqaar Me, Ilm o Amal Afqaar Me Husn o Wafa Qirdaar Me Hai Mazhar e Akhtar Raza, Asjad Raza Asjad Raza Zeeqatr Hai Zeeshan Hai Is Daur Ke Sultan Hai Ahle Sunan Ki Hai Sadaa Asjad Raza Asjad Raza Hai Mahi e Kufr Fitan, Hai Hami e Ahle Sunan Tujh Sa Hame Qaid Mila Asjad Raza Asjad Raza Nooraniyat Hai Zaat Me Haqqaniyat Hai Baat Me Yani Sarapa Haq Numa Asjad Raza Asjad Raza Hai Naam Se Tere Ayaa Tasleem Karta Hai Hai Jaha'n  Tu Bil Yaqee'n Sona Khada Asjad Raza Asjad Raza Dikhlati Hai Haq Raasta Jo Hai Raza e Mustafa Jiske Huwe Tum Rehnuma Asjad Raza Asjad Raza Ham Sunniyo Pe Yaa Khuda Saaya Rahe Inka Sadaa Hai Ham Sabhi Ki Ye Dua Asja...

Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka Jal Raha Tha Jala Hai Jalega

Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka Jal Raha Tha Jala Hai Jalega Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka Jal Raha Tha Jala Hai Jalega Maslak E Aala Hazrat Ka Naara Lag Raha Hai Hamesha Lagega Bughzo Keena Ka Chashma Laga Kar najdiyo Ne Likha Jo Chupa Kar Aam Hazrat Se To Chup Gaya Hai Aala Hazrat Se Kaise Chupega Urse Khwaja Me Jao Adab Se Aur Naara Lagao Adab Se Jo Jale Isse Pura Jale Wo, Aala Hazrat Ka Naara Lagega Ghous O Khwaja Ki Beshaq Ataa Hai Hind Me Ek Ahmed Raza Hai Ahle Sunnat Ka Jo Muqtada Hai Wo Bareilly Me Tumko Milega Sirf Ajmer Ne Hi Nahi Hai, Saare Aalam Me Hai Unka Charcha Faiz Khwaja Se Mere Raza Ka, Saare Aalam Me Danka Bajega Chehra Lage Suhana Mere Azhari Miya'n Ka Har Sunni Hai Diwana Mere Azhari Miya'n Ka Bat'ta Hai Sadqa Mufti e Aazam Ke Naam Ka Luto Hai Ye Khazana Mere Azhari Miya'n Ka Jhutlaye Laakh Koi Lekin Hai Ye Haqiqat Logo Hai Ye Zamana Mere Azhari Miya'n Ka Baghdad Se Madina, Ajmer Se Bareilly Ruhani Aana Jana Mere Azhari Miya'n Ka Wo Raza ...

JANASHEEN E TAJUSHSHARIYAH MERE ASJAD MIYA'N MERE ASJAD MIYA'N

  JANASHEEN E TAJUSHSHARIYAH MERE ASJAD MIYA'N MERE ASJAD MIYA'N MERE ASJAD MIYA'N MERE ASJAD MIYA' Maslak e Aala Hazrat Ke Rooh e Rawa Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n  Qaid e Ahle Haq, Deen Ke Pasbaa'n Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n Hai Wahi Noor Afqaar o Qirdaar Me Bolta Hai Wahi Lehza Oofqar Me Zaat e Akhtar Raza Ke Chamakte Nishaa'n  Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n Aap Aaye To Anwaar Yoo Chhaa Gaye Aisa Lagta Hai Akhtar Raza Aagaye Keh Rahi Hai Yahi Jhoom Kar Har Zubaa'n Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n Yaad e Murshid Ja Gham Jab Bhi Tarpata Hai Dekh Kar Aapko Chain Aajata Hai Ahle Sunnat Ke Hai Aap Aara Mijaa'n Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n Noor Me Aaj Sab Hai Nahaye Huwe Bhik Le Le Sitare Hai Aaye Huwe Banke Faiz e Raza Jalwa Gar Hai Yaha'n Mere Asjad Miya'n Mere Asjad Miya'n Jaan O Dil Is Gul e Sunniyat Par Fida Jisne Dali Hai Nazar Choom Kar Keh Utha Apne Baba Ke Jalwo Se H...

Hamare Aaqa Hamare Moula Imam E Azam Abu Hanifa

Hamare Aaqa Hamare Moula Imam E Azam Abu Hanifa Hamare Aaqa Hamare Moula Imam E Azam Abu Hanifa Hamare Mulja Hamare Ma'wa Imam E Azam Abu Hanifa Zamane Bhar Ne Zamane Bhar Mein Bahut Tajassus Kiya Ho Lekin Mila Na Koi Imam Tum Sa Imam E Azam Abu Hanifa Tum Hi Ko Maana, Tum Hi Ko Jana, Tumhi To Sab Ke Imam Thehre Mila Na Koi Imam Tum Sa Imam E Azam Abu Hanifa Tumhare Aage Tamam Aalam Na Kyu Kare Zaano E Adab Kham Ke Peshwayaan-e-deen-e-baala Imam E Azam Abu Hanifa Na Kyu Kare Naaz Ahle Sunnat Ke Tum Se Chamka Naseeb-e-Ummat Siraj E Ummat Mila Ho Tumsa Imam E Aazam Abu Hanifa Khuda Ne Tujhko Wo Di Hai Rif'at Ke Tera Mansoob Bhi Hai Marfoo' Teri Ijafat Me Raf'a Paya Imam E Aazam Abu Hanifa Hua Uloo Al-amr Se Ye Sabit Kay Teri Itaa'at Zaroori Wajib Khuda Ne Tum Ko Kiya Hamra Imam E Azam Abu Hanifa Kisi Ki Aankho Ka Tu Hai Taara, Kisi Ke Dil Ka Bana Sahara Magar Kisi Ke Jigar Me Aara Imam E Aazam Abu Hanifa Jo Teri Taqleed Shirk Hoti, Muhaddiseen Saare Hote Mushrik Bukha...

Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan

YE HAI KHWAJA KA HINDUSTAN MERE KHWAJA KA HINDUSTAN Ye Hai Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan Khawaja Ke Diwane Denge Apne Watan Par Jaan Ye Hain Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan Fazl-E-Khuda Aur Faiz-E-Nabi Se Khilk-E-Shirk Ukhada Tha, Aakar Khwaja Ne Ajmer Me Deen Ka Jhanda Gaada Tha, Hind Ki Dharti Par Jitne Bhi Deen Ke Dushman Rehte The, Allahu Ka Zarb Lagakar Har Zaalim Ko Pachada Tha Jisne Bhi Dekha Aap Ko Khwaja Le Aaya Iman Ye Hain Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan Yahi Pe Mas'ud-E-Ghazi Ne Apne Sar Ko Kataya Haiñ Yahi Pe Magdoom-E-Ashraf Ne Parcham-E-Haq Lehraya Haiñ, Yahi Pe Haji Ali-O-Haji Malang-O-Magdoom-E-Mahim, Waris-E-Meena Baba Tajuddin Ka Hum Par Saaya Haiñ, In Sabki Azmat Pe Karu Main Tan-Man-Dhan Qurban Ye Hain Khwaja Ka Hindustan, Mere Khwaja Ka Hindustan Yahi Pe Khwaja Sayeed Fakhruddin Hishamuddin Bhi Haiñ, Yahi Pe Qutubuddin Nizamuddin Alauddin Bhi Hain, Yahi Pe Shamsuddin Altamash Yahi Naseeruddin Bhi Hain, Yahi Pe Sharfu...

Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par, Taqdeer Banane Aaya Hoon

SULTAN UL HIND KI CHOKHAT PAR TAQDEER BANANE AAYA HOON Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par, Taqdeer Banane Aaya Hoon Afsana e Dardo Hijro Alam, Ro Ro Ke Sunane Aaya Hoon Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par... Kya Bhul Huwi Mujhse Aaqaﷺ, Kyu Khwab Me Aana Chhor Diya Ruthe Huwe Apne Khwaja Ko, Mai Aaj Manane Aaya Hoo'n Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par... Kya Nazr Karu, Kya Pesh Karu Sarkar Kisi Qabil Hi Nahi Kuchh Phool Aqeedat Ke Hai Jinhe, Turbat Pe Chadhane Aaya Hoon Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par, Taqdeer Jagane Aaya Hoon Jab Raaz o Niyaz Ka Aalam Ho, Allah Se Hoti Ho Baatein Us Waqt Naa Bhule Aap Mujhe, Yeh Yaad Dilane Aaya Hoon Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par... Sadqe Mai Janab e Usman Ke, Mujh Par Bhi Karam Ki Ek Nazar Dohraji Se Ajmer Nagar, Faryaad Sunane Aaya Hoon Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par… Haan Chashma e Faize Rahmat Par Me Pyaas Bujhane Aaya Hoon Me Chisht Ke Maikhane Wali, Sehba Chhalakne Aaya Hoon Sultan Ul Hind Ki Chokhat Par… Betaab Hai Dil, Bechain Hai Jaan, Raahat Ka Koi Samaan H...

Bayaa'n Kaise Karu'n Kya Shaan Mehboob E Khuda Ki Hai

Bayaa'n Kaise Karu'n Kya Shaan Mehboob E Khuda Ki Hai Bayaa'n Kaise Karu'n Kya Shaan Mehboob E Khuda Ki Hai Jise Imaan Kehte Hai Muhabbat Mustafa(ﷺ) Ki Hai Ibadat Karke Bhi Wo Mistahiq Hai Naar e Dozakh Ka Adawat Jis Kisi Ke Dil Me Shahe Ambiya Ki Hai Ilahi Us Namaz e Ishq Ka Sadqa Ata Karde Ali Ne Jo Namaz e Ishq Sehba Me Ada Ki Hai Bahattar The Magar Phir Bhi Hazaro Par Rahe Ghaalib Uthakar Dekhlo Tarikh Ye Karbobala Ki Hai Qadam Hai Auliya Allah Ki Gardan Pe Jab To Sar Kaha'n Hoga Samajh Lo Shan Kya Ghaus Ul Wara Ki Hai Koi Kursi Pe Baithe Usse Kya Raja To Khwaja Hai Hukumat Pure Bharat Me Mere Khwaja Piya Ki Hai Jahane Sunniyat Me Ghaus O Khwaja Ki Inayat Se Shehenshahi Musallam Aaj Bhi Ahmed Raza Ki Hai Na Fatwa Me Badal Koi Na Taqwa Me Koi Saani Ye Ta'arif Kiski Mufti e Aazam Shah Ki Hai Lage Jab Basti Basti Qariya Qariya Ka Kahi Naara To Khul Kar Saamne Aao Agar Chahat Wafa Ki Hai Hai Haq Goi Wa Be Baaki Ke Paikar Qaid e Millat Karam Hai Aala Hazrat Ka At...

Fazl e Khuda Se Yaa Nabi (صَلَّ اللّٰـهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ) Dono Makaa'n Hai Aapka ﷺ

Fazl e Khuda Se Yaa Nabi  (صَلَّ اللّٰـهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ) Dono Makaa'n Hai Aapka ﷺ Fazl e Khuda Se Yaa Nabi (صَلَّ اللّٰـهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ) Dono Makaa'n Hai Aapka ﷺ Milk e Khuda Me Sarr Bashar Hukm e Rawa Hai Aapka ﷺ Zikr E Rasool E Pak ﷺ Ko Rab Ne Buland Kar Diya Kaise Mitayenge Adu Harr Shu' Nisha'n Hai Aapka ﷺ Jiske Karam Ki Khil'ate Shah o Gada Ne Payi Hai Jari Hai Faiz Aaj Bhi Wo Aasta'n Hai Aapka ﷺ Mil Jaye'n Khuld Ki Sanad Jisko Bhi Aap Chah Le'n Rab Ki Ata Se Ya Nabi (صَلَّ اللّٰـهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ) Baagh e Jinaa Hai Aapka ﷺ Dekho Masauli Me Macha Shohra Hai Jiske Urs Ka Shah e Masauli Ya Nabi (صَلَّ اللّٰـهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ) Durr e Fisha Hai Aapka ﷺ Zarra Se Mahar Kar Diya Qatra Se Bahar Kar Diya Gulzaar e Wasti Pe Yu Faiz e Rawa Hai Aapka ﷺ

SARKAR KE JAISA MERE SARKAR KE JAISA

SARKAR KE JAISA MERE SARKAR KE JAISA Kaunain Me Us Monis O Gamkhar Ke Jaisa  Sarkar Ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa. Hai Kaun Bhala Ahemad E Mukhtaar Ke Jaisa  Sarkar Ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa  Kya Is Me Ajab Kah Diya Sidra Ke Makeen Ne  Jibreel E Ameen Ne  Dekha Na Koi Sayede Abraar Ke Jaisa  Sarkar Ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa Siddeeq Hon Farooq Hoon Usman E Gani Hon Ya Maula Ali Hon  Hai Yaar Kahan Dunya Me In Chaar Ke Jaisa  Sarkar Ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa  Wo Maula Ali Shere Khuda Fateh E Khaibar Damaad E Payambar  Laye Tu Koi Haidar E Karrar Ke Jaisa Sarkar Ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa Aye Chaand Tera Hosn O Jamaal Apni Jaga Hai Bilal Apni Jaga Hai Aya Na Koi Inke Khareedaar Ke Jaisa  Sarkar Ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa Aye Baab E Iram Teri Baharoon Me Nahi Hai  Hazaaron Mein Nahi Hai Taiba Ke Haseen Un Golo Gulzar Ke Jaisa  Sarkar Ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa. Maheboob E Khuda Nabiyoon Ke Sardar Ke Jaisa ...

Yaad e Mustafaﷺ Aisi Bas Gayi Hai Seene Me

YAAD E MUSTAFAﷺ AISI BAS GAYI HAI SEENE ME Yaad e Mustafaﷺ Aisi Bas Gayi Hai Seene Me Jism Ho Kahi Apna Dil To Hai Madine Me Unki Yaad Aayi Hai Saanso Zara Aahista Chalo Dhadkano Se Bhi Ibadat Me Khalal Padhti Hai Haqiqat Me Wo Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte Jo Yaad e Mustafaﷺ Se Dil Ko Behlaya Nahi Karte Zuba'n Ko Zuba'n Mili Hai Teri Sana Ke Liye Zubaa'n Mili Hai Mujhe Naat Ki Baya'n Ke Liye Hai Kaleem Ka Tasawwur Hai Khayal Dore Seena Meri Aarzu Mustafaﷺ  Meri Justuju Madina (Dil Jisse Zinda Hai Wo Tamanna Tum Hi To Ho Ham Jispe Mar Mite Wo Duniya Tum Hi To Ho) Jalwo Se Muhammadﷺ Ke Raushan Mera Seena Hai Kaaba Hai Mere Dil Me Aur Dil Me Madina Hai Naa Talash Me Gada Hai Na Talab Hai Zab-O-Dina Mere Waste Hai Kafi Mere Sath Ye Madina Waise Mere Aaqa Ka Ghar To Hai Madine Me Ha Magar Wo Rehte Hai Aashiqo Ke Seene Me Mai Sar Ke Bal Jaunga Ek Din Madine Me Hasrat Hai Mere Dil Ki Mar Jaau Madine Me Waise Mere Aaqa Ka Ghar To Hai Madine Me Ha Magar Wo Rehte Hai Aashiqo Ke ...

Sab Ka Daata Hai Tu Sab Ko Deta Hai TuTere Bando'n Ka Tere Siwa Kaun Hai ?

Sab Ka Daata Hai Tu Sab Ko Deta Hai Tu Tere Bando'n Ka Tere Siwa Kaun Hai ? Sab Ka Daata Hai Tu Sab Ko Deta Hai Tu Tere Bando'n Ka Tere Siwa Kaun Hai ? Kis Se Magenge, Kaha'n Jayen Kis Se Kahe Aur Dunya Me Haajat Rawa Kaun Hai ? Kon Maqbool Hai Kon Mardood Hai Bekhabar Kya Khabar Tujh Ko Kya Kaun Hai ?  Jab Tulenge Amal Tere Meezan Per Tab Khule Ga Ke Khotta Khara Kaun Hai Kaun Sunta Hai Faryad Mazloom Ki Daste Qudrat Me Kunji Hai Maqsoom Ki Rizq Per Kis Ke Palte Hain Shah O Gada Musna Daara E Bazm E Ataa Kaun Hai ? Awliya Tere Muhtaj Ay Rab E Kul Tere Bande Hain Sab Ambiya O Rusul Inki Izzat Ka Baais Hai Nisbat Teri Inki Pehchaan Tere Siwaa Kon Hai? Mera Malik Meri Sun Raha Hai Fu'nga Janta Hai Wo Khamoshiyo'n Ki Zubaa'n Ab Meri Raah Me Koi Haail Na Ho Naama-Bar Kya Bala Hai, Saba Kaun Hai Ibteda Bhi Wahi, Inteha Bhi Wahi Naa Khuda Bhi Wahi, Hai Khuda Bhi Wahi Jo Hai Sare Jahano'n Me Jalwa Numa Us Ahad Ke Siwa Dusra Kaun Hai ! Wo Haqaiq Ho Ashya Ke Ya Khush...

Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The

KANKAR SE KALMA PADHWAO PHIR KEHNA HUM JAISE THE Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The Doobey Suraj Ko Lautao Phir Kehna Hum Jaise The Tum Bhi Zara Meraj Ko Jao Phir Kehna Hum Jaise The Jao Namaze Lekar Aao Phir Kehna Hum Jaise The Lohe Se Talwar Banana Aam Hai Duniya Main Lekin Tehni Ko Talwar Banao Phir Kehna Hum Jaise The Peshani Par Daagh Banana Koi Mushkil Kaam Nahi Nakshe Qadam Pathar Par Banao Phir Kehna Hum Jaise The Bamo Daro Dewar Salami Dene Lage Kuch Aisa Karo Ped Ko Apne Paas Bulao Phir Kehna Hum Jaise The Uper Jaana Neeche Aana Ye To Bashar Ki Taaqat Hai Sayr E Jannat Kar Ke Dikhao Phir Kehna Hum Jaise The Sarwar E Dee Ki Baat Badi Hai Chodon In Sab Baaton Ko Unke Ghulamon Se Banjao Phir Kehna Hum Jaise The Unki Har Ik Ungli Se Tha Jaari Chasma Ay Kaleem Pani Un Pyason Ko Pilao Phir Kehna Hum Jaise The

Ay Khaliq O Malik Rab e Ula سُبْحٰنَ اللہ سُبْحٰنَ اللہ

Ay Khaliq O Malik Rab e Ula  سُبْحٰنَ اللہ سُبْحٰنَ اللہ Ay Khaliq O Malik Rab e Ula سُبْحٰنَ اللہ سُبْحٰنَ اللہ Tu Rab Hai Mera Mai Banda Tera سُبْحٰنَ اللہ سُبْحٰنَ اللہ Ham Mangte Hai Tu Mu'tee(مُعۡطِیۡ) Hai, Ham Bande Hai Tu Maula Hai Muhtaaj Tera Har Shah O Gada سُبْحٰنَ اللہ سُبْحٰنَ اللہ Ham Jurm Kare Tu A'fw(عَفۡو) Kare, Ham Qahr Kare Tu Mahr(مَہۡر) Kare Ghere Hai Jaha'n Ko Fazl Tera سُبْحٰنَ اللہ سُبْحٰنَ اللہ Tu Wali Hai Har Bekas Ka Tu Hami Hai Har Bebas Ka Hai Ek Ke Liye Dar Tera Khula  سُبْحٰنَ اللہ سُبْحٰنَ اللہ Ham Aibi Hai Sattaar Hai Tu Ham Mujrim Hai Ghaffar Hai Tu Badkaro Par Bhi Aisi Ata  سُبْحٰنَ اللہ سُبْحٰنَ اللہ Teri Ishq Me Roye Marge Sahr Tera Naam Hai Marhame Zakhme Jigar Tere Naam Pe Meri Jaan Fida  سُبْحٰنَ اللہ سُبْحٰنَ اللہ Ye Salk e Mujrim Aaya Hai Aur Khali Jholi Laya Hai De Sadqa Rehmat e Aalam Ka سُبْحٰنَ اللہ سُبْحٰنَ اللہ

Unki Mehek Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hai (with Tazmeen)

Unki Mehek Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Hai Dukh Dard Mustafa Ne Saare Bhula Diye Hai Raahat Ke Jaam Bhar Ke Mujhko Pila Diye Hai Khushiyon Ko Mere Ghar Ke Raste Dikha Diye Hai Unki Mehak Ne Dil Ke Gunchhe Khila Diye Hai Jis Rah Chal Diye Hai Kooche Basa Diye Hai Rooh Ul Ameen Ne Dekhi Rifat Pe Unki Aankhe Asra Ke Shab Lagi thi Ummat Pe Unki Aankhe Ay Mominon Tumhari Gurbat Pe Unki Aankhen  Jab Aagayi Hai Joshe Rehamat Pe Unki Aankhe Jalte Bujhha Diye Hai Rote Hansa Diye Hai Ahmed Raza Chale Jab Jannat Karane Wajib  Aankhen Thi Soo E Kaaba Taiba Pe Dil Tha Ragib  Toofan Jo Ghir Ke Aaya Bole Nabi Ke Nasib Aane Do Ya Dubodo Ab Toh Tumhari Jaanib Kashti Tumhi Pe Chhodi Langar Luta Diye Hai Ahmed Raza Ki Likhi Naate Rasool E Akram  Jab Daagh Ne Padhihe Mabhoot The Mujassam Apna Qalam Uthaya Likha Sharar Ye Usdam  Mulq E Sukhan Ke Shahi Tum Ko Raza Musallam  Jis Samt Aa Gaye Ho Sikke Bitha diye Hai

Mast Me Alast Hai Woh Baadshaah e Waqt Hai

Mast Me Alast Hai Woh Baadshaah e Waqt Hai Mast Me Alast Hai Woh Baadshaah e Waqt Hai Banda e Dar Jo Hai Tera Woh Be Niyaaz e Bakht Hai Unn Ki Gadaa’i Ke Tufail Ham Ko Mili Sikandari Rang Ye Layi Bandagi Auj Pai Apna Bakht Hai Ghuncha e Dil Khilaaiye Jalwa e Rukh Dikhaaiye Jaam e Nazar Pilaaiye Tishnagi Mujh Ko Sakht Hai Gardish e Daur Yaa Nabi Wairaan Dil Ko Kar Gayi Taab Na Mujh Mai Ab Rahi Dil Mera Lakht Lakht Hai Akhtar e Khasta Taibaa Ko Sab Chale Tum Bhi Ab Chalo Jazb Se Dil Kai Kaam Lo Utho Kai Waqt e Raft Hai

Koi Duniya e Ata Mein Nahin Hamta Tera

Koi Duniya e Ata Mein Nahin Hamta Tera Koi Duniya e Ata Mein Nahin Hamta Tera Ho Jo Haatim Ko Mayassar Ye Nazara Tera Keh Uthe Dekh Ke Bakhshish Meiñ Ye Rutba Tera Wah Kya Jood o Karam Hai Shah-e Bat’ha Tera Nahiñ Sunta Hi Nahiñ Mangne Wala Tera. Ilm Aisa bhi na de khud ko kahuñ un jaisa Isse behtar mere maula mujhe jaahil kar de Kuch Bashar Hone Ke Naate Tujhe Khud Sa Jaaneñ Aur Kuch Mahaz Payaami Hi Khuda Ka Jaaneñ Inki Auqaat Hi Kya Hai Ke Ye Itna Jaaneñ Farsh Wale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaaneñ Khusrawa Arsh Pe Udhtaa Hai Pharera Tera. Tere Qadmoñ Mein Pale Ghair Ka Muh Kya Dekheñ Kaun Nazron Pe Chadhe Dekh Ke Talwa Tera Muft paala tha kabhi kaam ki aadat Na padi Ab amal poochhte hain, haaye nikamma tera Teri nisbat se hai tauqeer meri logoñ meiñ Tu alag ho to meri zaat me kuchh bhi nahin Mujh Se Naa Cheez Pe Hai Teri Inaayat Kitni Tune Har Gham Ki Meri Himaayat Kitni Kya Batauñ Teri Rahmat Meiñ Hai Wusat Kitni Ek Main Kya Mere Isiyaañ Ki Haqeeqat Kitni Mujhe Se Sau Laakh Ko Kaafi...

Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai

Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai Allah Ki Rehmat Ka Sarapa Jo Dhani Hai Jibreel Ka Sartaaj Hai Nabiyo'n Ka Nabi Hai Wo Jiske Liye Sari Khudayi Ye Bani Hai Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai Hai Waadi E Zulmat Me Yaha'n Jiski Tajalli Har Qalb Paresha'n Ko Diya Jisne Tasalli Wo Jiske Sabab Gulshan e Hasti Me Nami Hai Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai Aadam. Ke Jabee'n Par Hai Wo Jis Noor Ka Jalwa Musa Ke Asa Me Hai Basa Jiska Ajuba Isa Ki Maseehayi Me Kun Jiski Chhupi Hai Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai Wo Chand Ko Shak Karde'n  Wo Suraj Ko Phiraye Ay Najdiyaa'n Jis Zaat Ko Ye Shaan Mili Hai Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai Me'araj Me Allah Ne Parde Ko Uthaya Mehboob Ko Kis Shaan Se Didaar Karaya Wo Zaat Ki Jo Bandish Sidra Se Bari Hai Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai Siddique O Umar, Haider O Usmaa'n Ki Hai Chahat Ghaus O Raza, Khwaja Ke Bhi Dil Ki Hai Rahat Wo Jiski Aseeri Me Har Ek Qalb Bani Hai Wo Mera Nabi Mera Nabi Mera Nabi Hai...

Tu Shamme Risalat Hain A’alam Tera Parwana

Tu Shamme Risalat Hain A’alam Tera Parwana Tu Shamme Risalat Hain A’alam Tera Parwana Tu Mahe Nubuvvat Hain Ay Jalwa E Janana Jo Saaqi E Kausar Ke Chehre Se Nikaab Uththe Har Dil Bane Maikhana Har Aankh Ho Paymana Dil Apna Chamak Utthe Imaan Ki Tal'at Se Kar Aankhein Bhi Noorani Ay Jalwa E Jaanana  Kyu Zulfe Muambar Se Kooche Na Mahak Uthe  He Panja Qudrat Jab Zulfo Ka Tere Shaana Tum Aye Chati Baazi Ronak Huwi Phir Taazi  Kaaba Hua Phir Kaaba Kar Daala Tha Butt Khana  Peete Hain Tere Dar Ka, Khate Hain Tere Dar Ka Pani Hain Tera Pani, Dana Hain Tera Dana Sarshar Ise Kar De Ik Jaam E Labalab Se Taa Hashr Rahe Saaqi Aabad Ye Maikhana Is Darr Ki Huzoori Hi Isyan Ki Dawa Thahri Hai Zehre Ma Aasi Ka Taibah Hi Shifa Khaana Har Phool Me Boo Teri Har Sham-A Me Zao Teri Bulbul Hai Tera Bulbul Parwaana Hai Parwaana Duniya Mein Hume Tum Ne Jab Apna Banaaya Hai Mehshar Me Bhi Keh Dena Yeh Hai Mera Deewana Gir Pad Ke Yaha Pohcha, Mar Mar Ke Ise Paya Chute Na Ilahi Ab, Sange Dare...

Zameen O Zaman Tumhare Liye Makin O Makan Tumhare Liye

Zameen O Zaman Tumhare Liye Makin O Makan Tumhare Liye Zamin O Zaman Tumhare Liye Makin O Makan Tumhare Liye Chunin O Chunan Tumhare Liye Baney Do Jahan Tumhare Liye. Dahan Mein Zuban Tumhare Liye Badan Mein Jan Tumhare Liye Hum Aye Yahan Tumhare Liye Uthen Bhi Wahan Tumhare Liye. Farishte Khidam Rasoole Hisham Tamam E Umam Ghulam E Karam Wujood O Adam Hudoos O Qidm Jahan Mein Iyaa(N) Tumharay Liye Ye Fayz Diye Wo Jud Kiye Ke Nam Liye Zamana Jiye Jahan Ne Liye Tumhare Diye Ye Ikramiyan Tumhare Liye. Jinan Mein Chaman Chaman Mein Saman, Saman Mein Phaban, Phaban Mein Dulhan Sazaye Mihan Pe Ayse Minan Ye Amn O Aman Tumhare Liye. Na Jinn O Bashar Ke Aath Pahar Malaikah Dar Pe Basta Kamar Na Jib’ha O Sar, Ke Qalb O Jigar, Hain Sajdah Kunan Tumhare Liye. Khalil O Naji Masih O Safi Sabhi Se Kahi Kahin Bhi Bani Ye Be Khabari Ke Khalq Phiri Kahan Se Kahan Tumhare Liye. Tumhari Chamak, Tumhari Damak Tumhari Jhalak, Tumhari Mahak Zamin O Falak, Simak O Samak, Mein Sikka Nishan Tumhare Liye. Isha...